Tuesday, May 8, 2012

Kya Karun


Husn e jaana ki taareef main kya shuru karun,
khatm na ho jo baat main kya shuru karun

Kamzarf se samandar labon pe beqarar,
Ab apne khayalon ko kya beabroo karun

Wo ghazal ke maiyne poochta hai mujhse,
Ab aaine se main use kya roobaroo karun

Sachchai ne nawaaza hai tanhayi se mujhe
Kyun na meetha bolna main bhi shuru karun

Karne ke waaste mujhko baatein hazaar hain
Har baar talkhiyon ko hi kyun surkhroo karun

Mardood e adab mein Quateel apna shumar hai
Is bujhi kalam se kise kya khushroo karun