Saturday, January 7, 2012

Naya naya Saal Tha

Wo lag raha hai bujha bujha
Kuch sarak gaya hai taj sa

Chaak hai jigar jigar
Dil bhi hai jalaa jalaa

Naye naye hain zakhm bhi
Sar bhi hai jhuka jhuka

Isse pehle ki poochh loon
Usne pher li nazar

kal tha itne kharosh mein
Muayyan sa dagar dagar

Aaj uski zulf kyun
Ho gayee bikhar bikhar

Mujhe uske haal pe taras bhi hai
Aur sochta hun magar magar

Ek din ke saal ko
Waqt ne badla kis qadar

Dard Ilaaj Hai

Beemar hain kyun bechain mizaaj hai
Dard ki intehaa akhir ilaaj hai

Baatein hain bahot saudagaron ke paas
Khaamosh hai jiske haathon ko kaaj hai

Bookhe bachche royein na kyun yahaan
is mulk mein sare aam sadta anaaj hai

Holi se, phoolon se, kheton se chura ke
rangeen parcham siyasat ka aaj hai

Aa rahe hain dekho waris ehtejaaj ke
Utha ke sar aise jaise zakhm taaj hai