Tuesday, February 22, 2011

Inquilab

Aao hum tum ab fanaa ho jaayein
hava inquilab aur hum shama ho jaayein

tahrir e nau ka kalam ban kar
Apne armaanon ki dua ban jaayein

Odh kar sarfaroshi ka jaam e kafan
Rah e junoon mein nihaan ho jaayein

Mod dein apne seenon se sangeenon ko
Dast e qatil ki kazaa ban jayein

Jalaa ke saare khauff apne maazi ke
Zulm ki hum tum chitaa ban jaayein

Utre hain fizaa mein dekho apne khwaab
Qaum faroshon ki sazaa ban jaayein

Aane wale kal ki keemat ada kar dein
hamesha ke liye hum javaan ho jayein

Thursday, February 10, 2011

Kabhi Kabhi mere dil mein khayaal aata hai... ( maazrat ke saath)

Ghani shaam mein mere shaanon par sar rakh kar
neem kash aankhon se mujhe jaane jaan takna

apni lakhayaal madhosh zulf dotaa mein
mere awaara khayaalon ko tum maho rakhna

apni aankhon ki bapanaah siyaahi ka
meri kamzarf hasraton par tawaaf rakhna

abr-aamez surkh makhmali hothon se
tapish mere lab e tishnagi ki banaye rakhna

apni har mehekti hui saans mujhko de kar
mera jeene mein man yunhi lagaye rakhna

saraab sahi, behlaavaa sahi,
tasawwur e dil e nashaad sahi
intikhaab hai saari baatein
tum aur kahin ho
kisi aur ke paas phir bhi
kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai.

Tuesday, February 1, 2011

Mar Jaaunga

Isse zyada kuch nahin keh paaunga
yaadein jodunga to bikhar jaaunga

duaaein jisne di mujhko gin gin ke
tarazu se uske main aaj utar jaaunga

un ankhon mein kya dekh liya dil ne
dum roz keh raha hai nikal jaaunga

mujhse milna baatein karna theek nahin
bura waqt hoon belaus theher jaaunga

Imaan Rahe

Ibadaton ke bhanwar mein kya imaan rahe
har patthar kare daava kya pehchan rahe

ghurbat ke samandar mein yun tairta raha
amavas mein roshan tanha chiraag rahe

Galey bhi milte hain log ab faasla rakh kar
apne dil ki khushi hai apne paas rahe

inkaar madad se yun kar raha tha wo
jaise apne ghamon ka dumsaaz rahe

masroof zindagi mein aise rehta hai dil
sheher ke shor mein jaise kabristan rahe