Showing posts with label my poetry book. Show all posts
Showing posts with label my poetry book. Show all posts

Friday, October 14, 2011

Faryaad

Aur kareeb aao to kuch baat bane
Kuch sunaao to kuch baat bane

Apni kaho duniya ki ya meri jaan meri
Haath mein haath dharo to kuch baat bane

Aanchal ke kone ko ungliyon mein lapete hue
Ishaaron mein bulaao to kuch baat bane

Surme ko palkon mein sajaakar apni
Meri neendein udaao to kuch baat bane

Khwaabon mein bhi kyun ho aate jate
Kuch der thehar jaao to kuch baat bane

Seene se dil churaya liya hai tumne
Saanson ko bhi apnaao to kuch baat bane

Apni armaanon ko kisi roz ginte ginte
Mujh tak pahunch jaao to kuch baat bane

aage

Sabab ka hona anjaam ke aage
Tujhko rakhna jaan ke aage

Bandagi ka meri kya bhalaa hoga
shartein jaa harf e dua ke aage

vaade par mere hai use aitabaar
kotaah gar hoon khuda ke aage

Haq askhon ke namak ka hua adaa
Farz dataa raha jazbaat ke aage

Panapte nahin saaye andheron mein
Hui maut kamzarf khauff ke aage

Saturday, September 10, 2011

Kya Tum Ho

Dil ki har khalish mein tum ho
ankhon ki har nami mein tum ho
har unsuni dua mein tum ho
pyaase labon ki tapish mein tum ho
har maskin ki chatton mein tum ho
bedaaron ki thokaron mein tum ho
benoor duniya ka pata tum ho
har mausam ki fiza tum ho
jiska koi nahin uske tum ho
koi ho zariya sarmayedaar tum ho
sajjaadon ka nishaan tum ho
Kufr ki wajah tum ho
malik e do jahaan tum ho
har zarre me lapataa tum ho
mere kehne se nahin tum ho
maine likha jo tum ho

Bayaan

Ab tere husn ka zikr kya karun
Gulabon ki main guftagoo kya karun

Zubaan mein itni lachak hi nahin
Reshami ehsaas bayaan kya karun

Surahi dekhi hi nahin maine kabhi
teri gardan ko misaal iski kya karun

Nal mein hi dekha hai paani jheel ka
Hai itni hi bisaat apni main kya karun

Tokrion mein hi naagin dekhi maine
Teri chaal ki main baat kya karun

Olympic ke hi dekhe maine teer kamaan
Bhavon ko teri unke barabar kya karun

Ab aa meri baahon mein seene se lag
Tanhayi mein tujhse baatein kya karun

Dil mein

Teri baatein ab khanjar si hain meri jaan dil mein
Har baar sun kar hota hoon budgumaan dil mein

Muhabbat ki ravaani mein muhaaide kiye they buton se
duaa lab per yahaan aur shikwa wahaan dil mein

Humsafari ki aadat hi hai jo saath chale jaate hain
Na wo narmi hai un nigaahon mein na tamanna dil mein

Badlaav hai mizaaj ka ya halaat ka asar,
iska makien tha jo kahbi jhaankta nahin dil mein

Izhaar kar rahaa hoon ilzaam ho to behter
Ek arsa hua kisiko bithaaya nahin dil mein

sawaal inquilab se

Har gali mein jo goonj raha hai
Inquilaab nahin to kaho kya hai

Tareekh mein peeche reh jaane ke dar se
Har koi nikal pada hai ghar se

Har masale ko kya yeh suljha dega
Inquilab kya humko naya hausla dega

Yakin nahin ummeed hi sahi
Gandhi nahin to munh bola murid sahi

Jis swaal ka jawab nahin wo kahaan mil jaayega
Badhta kadam ab soch ke kya paayega

sawaal durust hain lekin kya karein
ilzaamon ko har jagah dharein?

Aur yeh baat uski samajh ke baahar hai
jinn uska tha ab chiraag ke baahar hai

Jhuki Nazar

Jhuki nazar ko pyar ka paigham samjhun,,
ya uska inkar sare aam samjhun,

haal e dil haath to aa jaaye mere,
main iska jhukaav, rujahaan samjhun,

batein nigahon mein karni thi so ho chunki,
wo kya meri bolein, main kya unki samjhun,

sabr ke damsaaz aur honge zamane mein
aashiq hun, sukun ko main kya samjhun

dil mein tasveer sajee rakkhi hai,
main kya hasrat-e- deedar samjhun

Tuesday, June 28, 2011

Ajeeb haal!

Ajeeb haal hai is mehfil ka
musalsal kahe koi
musalsal daad day koi
Ya khuda saans to le koi!

Ajeeb baat hai duniya ki
zulm sahe koi
aah bhare koi
is fareb ko bund kare koi!

Ajeeb hai rivayatein gharon ki
hauslaa kare koi
maslaa bane koi
Seedhi baat bhi to kare koi!

Ajeeb raste hain ishq ke
ishaare kare koi
Bechaara mare koi
Is dhongg ko khatm kare koi!

Monday, June 20, 2011

Gaaon ki yaad

Chuk chuk karti rail gaadi chali gayee
Puk puk karti chakki bhi chali gayee

Jhar jhar gehun ki danvaai chali gayee
Thak thak chawal ki kutaai chali gayee

Band hua miljul kar gudadi ka silna
Chaar aane ki mithai chali gayee

Bhor ki wo datuan todaai chali gayee
Saanjh ki chara-chunii bhi chali gayee

Hukke ki chiilum chadhai chali gayee
Aangan ki gobar lipai chali gayee

Bartan ki wo raakh majaai chalii gayee
Bhoonje dana wo bharsaiin chali gayee


Jaadon mein wo ras peraai chali gayee
Saath uske rasiyaav ki handia chali gayee

Sikahar ki wo dahi malai chali gayee
Palang ki nivaad kasaii chali gayee

Debari ki tel bharaai chali gayi
Aandhi mein baagh rakhaii chali gayee

Ek alag duniya hi thi jo chali gayee
Ab uski yaad bhi jaise chali gayee

Wednesday, June 15, 2011

Pyar sikha doon

Aao main tumhe pyaar karna sikha doon,
Jeena aur jeeteji marna sikha doon

Sheeshe ki manind hai jo dil nazuk tumhara
Sheeshagari ke isme kuch anjaam mila doon

Phool se paaon hain makhmalon ke paymane
Kaanton ki inhe paazeb pehna doon

Ankhon mein jo chamakti hai lau zindagi ki
Rang isme bujhi hasraton ka mila doon

Saagar mein doobne ki hastrat rehne do
Sehraon mein bikhray moti dikha doon

Tuesday, June 14, 2011

Pehel

Wo jo tunay mujh par ghaav barsaaye hain,
is shab phir mujhe sataane aaye hain,

main apni zid par amaada raha,
tujhme bhi enaa ke sarmaaye hain,

saare hamdard thak kar apne raste chal diye,
dekhein guroor humain kahaan le jaaye hai,

Jaanta hoon tu bhi pachtaaye hai un baaton ko,
kambakht dil phir mujh se hi pehel karvaaye hai

Tuuti Kursi

Bahut nihaara jaata hai
Jo bahar se aata hai
Sabhi balaayein lete hain
Sab duaaein dete hain
Baaton ka wo achcha hai
Dil ka bhi sachcha hai
Sabki baanchein khilti hain
Jab peti uski khulti hai
Sar pe rakh ke haath chhoti ke
Kangan wo dikhlata hai
Chacha ka fone aur Chhote ko
shoes bhi pakdaata hai
Baba bhi ghadhi se khush hain
Dadi to aise hi khush hain,
lekin chhipi ek udaasi bhi
Ek chehre ki muskaan ke peeche
Khwahish bani hai phaansi bhi
Bahar se aane wala
Sabke man ko bhaata hai
Jo roz yahaan khat ta hai
Uska man prashn uthaata hai
Kahaan thhey tum jab chhoti ki
Admission ki baari thi
Do dinon ki chutti maine
Un linon pe waari thi
Baba ka PF bhi kya karke nikalvaaya tha
Ek tankhwaa jitna nazrana chadaya tha
Jab maa ko na na karte
Bade doctor ko dikhaaya tha
Office se loan le kar MRI karvaya tha
Aur daadi ki tooti kursi,
Phainkne ko wo taiyyar nahin
Maike se laayi hoon kehte
Roz usi pe baithe hai
Jaan halaq mein aati hai
Jab kursi zara zara si toote hai
Boodhi haddiyon ki khair
Ghar mein sab manayein hain
Chhoti ke zevar ka zimma
tum ne to khoob nibhaya
Lekin roz ke aate chawal
Ka bojh bada hi bhaari hai
Saare ghar ke kaam ka zimma
Tension ki jaise aari hai
In deewaaron se niklun main bhi
Pardes ki duniya dekhun main bhi
Kya hoti hai apnon se doori
Dekhun main bhi parkhun bhi
Lekin ye baatein bekaar ki hain
Kismat ke karobaar ki hain
Kal ek paaya laana hai
Kursi ko aur jilaana hai

Monday, April 11, 2011

Rehte Rehte

Lab pe aa gaya tera naam rehte rehte
Kissa phir shuru hua tamaam kehte kehte

Rishta aise rakkha tunay bewafaii mein bhi
Rang kar raha ho koi imaarat ko dhahte dhahte

Mere bhi chehre ka taaluk dil se aisa ho gaya
Muskura deta hoon ashkon ke behte behte

Koi shay ajnabi nahin lagti ab aise,
Ghamon ne apna liya mujhko sehte sehte

Khaali Mann

Man mein tha jo geet mujhse sunaya na gaya,
Dil ke armaan ko bhi dabaaya na gaya

Chhalakte rahe jaam uthte rahe paymane,
Apna hi haath tha lekin rukaaya na gaya

Bade saleeke se bulaa rahe tthey mujhe veerane,
Apna haq mujhpar unse bhi jataaya na gaya

Teri talaash mein wohi lazzat hai jo tere saath mein hai
Ek kiya na gaya dooja nibhaya na gaya

Thursday, April 7, 2011

Neend

Ab kya karunga ro ke
Lo aa gaya munh dho ke

Utar gaya hai bukhar
Hosh aaya sab kho ke

Nakhuda bante tumko dekha
Meri kashti dubo ke

Chayn ki baat kya karun
Neend aayi kaanto pe so ke

Ajeeb tha mera safar 'Quateel'
Faasla reh gaya tay ho ke

Monday, March 28, 2011

Baharon mein rang o boo na rahi

Baharon mein ab rang o boo na rahi
Paaband inayaton ki aarzoo na rahi

Raaste besabri se pukaarte hain unke
Jin manzilon ki ab justajoo na rahi

Dil ki har dhadkan ko tees diya tha jisne
Gham e hasti mein wo khalish surkhroo na rahi

Saare but to devata ban baithe hain
Bas sangtarash hai jiski aabroo na rahi

Hori

Holi ke mauke par kuch alfaaz aaye :


Khelo more sang bhi Shyam hori,
kyun Radha ki satrangi aur
mori chunariya kori?

Jawab mein ek dost ne kaha:
 
Rahda ke dhadakan se bandhi
saavariyaa ki dori
un rangon men dooba khele
kaise auron sa holi?


Phir maine likha:

Chaliya ki hori jaaye mora dil kured,
Rukmini aur Radha main kahe kare hai bhed?

Tuesday, March 8, 2011

Ishara

Dosti nahin kum as kum mujhse bair kar
Koi to rasm e duniya tu bakhair kar

meri kismat likhi tere khwaabon ne
Doob gayi phir woh ashkon main tair kar

Sargam ki taal bhi, sharaab bhi, baahon ke jaal bhi,
Rangon ki kisi shay ko to gair kar

Monday, March 7, 2011

Muddat

Vehshat e dil kya bataaun tumko
Toote khwabon se aao sajaoon tumko

Bhool jaoon tanhaayi ki sadiyaan
Vasl ke lamhe pee loon pilaa doon tumko

Dil ke andhere abhi aankhon mein baaki hain
Chiraagon ko bujha loon phir nihaarun tumko

Saanson ki garmi yakeen dila rahi hai tum ho warna
Dil ke farebon mein kayee baar tha paaya tumko

Tuesday, February 22, 2011

Inquilab

Aao hum tum ab fanaa ho jaayein
hava inquilab aur hum shama ho jaayein

tahrir e nau ka kalam ban kar
Apne armaanon ki dua ban jaayein

Odh kar sarfaroshi ka jaam e kafan
Rah e junoon mein nihaan ho jaayein

Mod dein apne seenon se sangeenon ko
Dast e qatil ki kazaa ban jayein

Jalaa ke saare khauff apne maazi ke
Zulm ki hum tum chitaa ban jaayein

Utre hain fizaa mein dekho apne khwaab
Qaum faroshon ki sazaa ban jaayein

Aane wale kal ki keemat ada kar dein
hamesha ke liye hum javaan ho jayein