Tuesday, June 14, 2011

Tuuti Kursi

Bahut nihaara jaata hai
Jo bahar se aata hai
Sabhi balaayein lete hain
Sab duaaein dete hain
Baaton ka wo achcha hai
Dil ka bhi sachcha hai
Sabki baanchein khilti hain
Jab peti uski khulti hai
Sar pe rakh ke haath chhoti ke
Kangan wo dikhlata hai
Chacha ka fone aur Chhote ko
shoes bhi pakdaata hai
Baba bhi ghadhi se khush hain
Dadi to aise hi khush hain,
lekin chhipi ek udaasi bhi
Ek chehre ki muskaan ke peeche
Khwahish bani hai phaansi bhi
Bahar se aane wala
Sabke man ko bhaata hai
Jo roz yahaan khat ta hai
Uska man prashn uthaata hai
Kahaan thhey tum jab chhoti ki
Admission ki baari thi
Do dinon ki chutti maine
Un linon pe waari thi
Baba ka PF bhi kya karke nikalvaaya tha
Ek tankhwaa jitna nazrana chadaya tha
Jab maa ko na na karte
Bade doctor ko dikhaaya tha
Office se loan le kar MRI karvaya tha
Aur daadi ki tooti kursi,
Phainkne ko wo taiyyar nahin
Maike se laayi hoon kehte
Roz usi pe baithe hai
Jaan halaq mein aati hai
Jab kursi zara zara si toote hai
Boodhi haddiyon ki khair
Ghar mein sab manayein hain
Chhoti ke zevar ka zimma
tum ne to khoob nibhaya
Lekin roz ke aate chawal
Ka bojh bada hi bhaari hai
Saare ghar ke kaam ka zimma
Tension ki jaise aari hai
In deewaaron se niklun main bhi
Pardes ki duniya dekhun main bhi
Kya hoti hai apnon se doori
Dekhun main bhi parkhun bhi
Lekin ye baatein bekaar ki hain
Kismat ke karobaar ki hain
Kal ek paaya laana hai
Kursi ko aur jilaana hai

No comments:

Post a Comment