Monday, April 30, 2012

Maikhaana

Maikade mein le zehen behosh aata hai
Jaam uthaane per hi usko hosh aata hai

Dastoor-e-mai jaanta hoon main faqat itna
Chadti hai usko ghoont jo ghutne ko aata hai

zubaan larzey na kabhi hain pair lad'khadate
Fun ye maahir zinda kharaabon ko aata hai

Dil kiye pathhar sile lab liye dinbhar
Har shaam wo jaise khulne ko aata hai

Kabhi shab e vasl kabhi subh e shaad
Paymana wohi naya manzar roz dikhaata hai

Tuesday, April 24, 2012

Random 'Free' Thoughts

And it is that time of the year again. When we as a nation lament and berate, enjoy and celebrate our being a country. When channels rerun Gandhi the movie and news channels have panel discussions on why we should leave him behind. 

An honest man with a just demand in a completely unreasonable format sticks out his chin, leaving people like me in a dilemma. The rest of the junta is quick to jump to his cause, little realising what he basically wants is a violation of democracy as constituted here. The party in power is not clean and any reasonable route closed by the crusader. He is a simple man who wants a simple solution. And he is willing to die for it. Good for him and I can only pray that the disaffected throngs who gravitate to him realise what's happening. But have no hope of that happening.

I cannot condone the ruling alliance for fear of being riled by my fellow civil society members as being corrupt. it seems if you are not caught up in the hubris of anti corruption debate and lost all sense...then you are not worthy of this freedom that many people have given their lives for.
This brings me to the next topic. In these times we see people (poets specially) sing paens to those soldiers who laid down their life for the country. What I can't fathom is why now? Is it less important on other days? Or more important today? When such overwhelming collective reverence takes place in this country it will mean only one thing. It will be forgotten the next day till the next independence day. And my emotional junta that sings aye mere watan ke logon proudly with a tear gleaming... Doesn't really know what freedom means. India got freedom from the british in a largely unmilitary fashion. The soldiers who fought for the country did so in wars and skirmishes with the neighbours. 

So is independence day remembrance indicative of military achievements? How soviet of us to do so! And the whupping the chinese meted out to us is termed 'sacrifice'. While 71 is termed as military superiority. The idiocy of the masses is truly supreme. The chinese are getting ready once again and looks like our pants are down again. Low number of aircraft, specious border connectivity, which is a ridiculous border to begin with.

What bards dream of epics to unleash on this day. Tales to rend hearts and move minds to mush. When you talk to soldiers you realise they know what they are getting into. I will never forget a train journey I shared with a soldier. It was the quietest one I've had. I asked him where he had been. He was with IPKF in Lanka and although he did not speak much his eyes spoke of lost comarades and faulty intel inputs. Misadventures by a dilletante PM and pain of lost comrades. But still the guy was not feeling too noble. He did his job quietly collected his pay. If public adulation is what the armed forces were after we would be overwhelmed with applications to join the forces. Not a 30% shortfall in junior and middle level officers. This same facebooking, twitter typing youth doesn't even consider the career as the money is more in writing code and even selling credit on the fone to farmers in Idaho. Jai jawan used to be a stirring cry in our country. Now it is just a tv programme.

Anna Hazare took the law into his own hands when he burnt down alchohol stills in his village to make it alchohol free. Today even though it is your democartic right to drink alchohol in Maharashtra if permitted , you cannot in ralegan siddhi... This 'gangajal' style justice may be what is needed but it cannot be condoned.

True freedom is independence of thought. Of being able to think for oneself. And seeing todays herd mentality... I doubt we are free. We are manipulated first by parents, then by peers and finally by media, the agents of mass manipulation. To anticipate the next movie, next save the tiger marathon, the next rozgar yojana and the next Gandhi. We live like Pavlov's dogs ready to salivate at the next bell.

Monday, April 23, 2012

Holi Masti

Holi ki rangeen jab dete Chahcha badhayee
Padosan dikhe hai pehle, piche apni lugayee

Chamchamati lungi pehin Pehelwan Kallu
moonch per hain tav laaye
jaise kahein 'koi hum par rang daal ke dikhaaye'

Hai! Misrain kaun si saadi pahin hain ayiin?
Bheeg kar gayee aur bhi kas,
Rang maley unko hum khoob jas tas

Rajjo aandhi ki tarah ayee
toofan ki tarah gayee balti bhar ke
syaani ho gayee woh bhi rangon mein phans ke

Kaun kahe hai Baiju se
ghontne ko thandaai
bhaanj rahe hai aise
jaise apne liye hi banayee

Boley mast nayan, jeeb ladkhadaye
ab ki holi maun hain hum
baat mein teri man dooba jaaye

pati aise bhi pad gaye raste
jo itne din baad
patni ko dekha khul ke hanste

Paan lagaa rahe hain tunn Nirale
mal rahe kya chuna katha
moonh mein sabke chaale

In sab drishyon se door Kallu
peete asmanjas ke haale
Keh hi diya "Arre! koi mujhpar bhi rang to dale!'

Sawaal ka sawaal

Sawaal ka sawaal tha jawaab nahin mila mujhe
Jawaab mein kya pata kya mila mujhe

Tunay kya samjha kya payaa mujhe
Jisne mujhe samjha kuch aur hi paaya mujhe

Sulag raha hai dil jo chita ban kar,
Ab ke sawaan dhoondega jaane kaise kahaan mujhe

Jo thi koi baat mujhme khaas bhi,
Ghul gayee hai dhull gayee itna usne rulaya mujhe

Main likhna chahata hoon, aur peese hai zabt mujhe,
Meri kismat ki hunar mila hai kam mujhe

Sher

Ghairon ke shor mein wo itna uljha hua hai 'Quateel'
Apne hi dil ki baat sun nahin paata

Gamla

Ya to uski uljhan la-ilaaj ho jaye
Ya meri ulfat bakamaal ho jaaye

Ek roz to main usse baat karun
Ek din mera bemisaal ho jaye
 
Kitaabon mein jawaab nahin milta
Humsafar jab sawaal ho jaye
 
Rang badal rahe hai yun paymane
Aaj ka kapoot kal ka laal ho jaye

Gamle sa jo har ghar ho jaye,
Mehke saari duniya nihaal ho jaye


Paheli

Hoon sabki ki zaroorat main
par ameeron ki numaish main

Aish nahin na imaan main
Par har gali mein biktaa main

Deen dharam se door hoon main
Mandir masjid ki bheed hun main

Har kadam par saath hun main
Saaye se bhi paas hun main

Ab aur bataana theek nahin
Samajh gaye ho kaun hun main

Friday, April 20, 2012

Muyassar nahin mujhko

Muyassar nahin mujhko basafaa hona
qayamat hai sabka raazdan hona

Khelti hai shabnam usi phool pe
jiske labon pe hain isko nihaan hona

Aaj tujhe dekha badi bekaraari se
samjhe kya hai khaaish ka javaan hona

Shay hai jo khuda ki kudrat ki
Dekh rahe hain uska bhi khuda hona

Haal e dil se rooh tak utar jaata hai
Dard ki firtrat mein hai ravaan hona

Thursday, April 19, 2012

Smrutiyon ka prabhaav

Smrutiyon ka prabhaav pyaas sa badhta chalaa gayaa
Aur main beete palon ko niglata chala gayaa

Kitno ke pat jhat bund phir kiye
kuch ka tar udhdaa to udhadtaa chalaa gayaa

Kab tak padi rahogi mere paaon mein
Sawaal apni bediyon se main karta chala gayaa

Na shastra na kavach kisi kaam aaye
Is rann mein ajay vahi jo gira aur girtaa chala gayaa

Saath hain to kyun na hum sukhi rahein
Prashn na thaa to chinh kyun lagtaa chalaa gayaa

Phoolon ki sej mein hi thha mere hriday ka shool
Layt'te hi mere wo ghar chalaa gayaa

Friday, April 13, 2012

Jo tum huay hamare hote

Jo tum huay humaare hote
To apni chatt pe bhi sitaare hote

Josh e tamanna mein duaaon ka asar
Mil jaata to kya nazaare hote

Kuu e yaar aur makan apna
Khoob hota jo ek kinaare hote

Shadab zameen ke daldal dekh lete
to pankh apne na utaare hote

Har jagah phire ho qalam liye 'Quateel'
Hunar zubaan ke bhi to sanwaare hote

Wednesday, April 4, 2012

Subah

Mili hai zindagi to bejaan se na raho
Aur zinda ho to pashemaan se na raho

Waqt ki fitrat mein hai badalna
Har tabdeeli pe hairaan se na raho

Chand ghadiyon ke mehmaan hain gham aur khushi
Mehmaan ke aane par budgumaan se na raho

Jab puchche koi kya hai tumhari marzi
Aise mauke par bezubaan se na raho

Aajki jeeti jaagti tasveer ban kar jiyo
Guzre zamaane ki dastaan se na raho