Wednesday, April 4, 2012

Subah

Mili hai zindagi to bejaan se na raho
Aur zinda ho to pashemaan se na raho

Waqt ki fitrat mein hai badalna
Har tabdeeli pe hairaan se na raho

Chand ghadiyon ke mehmaan hain gham aur khushi
Mehmaan ke aane par budgumaan se na raho

Jab puchche koi kya hai tumhari marzi
Aise mauke par bezubaan se na raho

Aajki jeeti jaagti tasveer ban kar jiyo
Guzre zamaane ki dastaan se na raho

2 comments: