Holi ki rangeen jab dete Chahcha badhayee
Padosan dikhe hai pehle, piche apni lugayee
Chamchamati lungi pehin Pehelwan Kallu
moonch per hain tav laaye
jaise kahein 'koi hum par rang daal ke dikhaaye'
Hai! Misrain kaun si saadi pahin hain ayiin?
Bheeg kar gayee aur bhi kas,
Rang maley unko hum khoob jas tas
Rajjo aandhi ki tarah ayee
toofan ki tarah gayee balti bhar ke
syaani ho gayee woh bhi rangon mein phans ke
Kaun kahe hai Baiju se
ghontne ko thandaai
bhaanj rahe hai aise
jaise apne liye hi banayee
Boley mast nayan, jeeb ladkhadaye
ab ki holi maun hain hum
baat mein teri man dooba jaaye
pati aise bhi pad gaye raste
jo itne din baad
patni ko dekha khul ke hanste
Paan lagaa rahe hain tunn Nirale
mal rahe kya chuna katha
moonh mein sabke chaale
In sab drishyon se door Kallu
peete asmanjas ke haale
Keh hi diya "Arre! koi mujhpar bhi rang to dale!'
Padosan dikhe hai pehle, piche apni lugayee
Chamchamati lungi pehin Pehelwan Kallu
moonch per hain tav laaye
jaise kahein 'koi hum par rang daal ke dikhaaye'
Hai! Misrain kaun si saadi pahin hain ayiin?
Bheeg kar gayee aur bhi kas,
Rang maley unko hum khoob jas tas
Rajjo aandhi ki tarah ayee
toofan ki tarah gayee balti bhar ke
syaani ho gayee woh bhi rangon mein phans ke
Kaun kahe hai Baiju se
ghontne ko thandaai
bhaanj rahe hai aise
jaise apne liye hi banayee
Boley mast nayan, jeeb ladkhadaye
ab ki holi maun hain hum
baat mein teri man dooba jaaye
pati aise bhi pad gaye raste
jo itne din baad
patni ko dekha khul ke hanste
Paan lagaa rahe hain tunn Nirale
mal rahe kya chuna katha
moonh mein sabke chaale
In sab drishyon se door Kallu
peete asmanjas ke haale
Keh hi diya "Arre! koi mujhpar bhi rang to dale!'
No comments:
Post a Comment