Showing posts with label THE POETRY BOOK. Show all posts
Showing posts with label THE POETRY BOOK. Show all posts

Wednesday, November 4, 2015

imarat

Imarat
Main imarat hoon uske makaan ki.
Use meri haalat dikhaayee nahin deti
Wo makeen hai malik nahin
Na meri marammat uske bas ki hai
Na ab mujhse door jaane ki wo sochta hai
Wo to mujhe Ghar kehta hai
Jisme wo paida hua, khela, badaa hua,
Tab main jawaan tha, mazboot, rangeen
Mujhmein apne qad per naaz tha
Kitni shaadian mere aangan mein huin
Kitne jashn manaaye gaye
Jhagde bhi hue
Khatarnaak jhagde bhi hue
Kuch khoon ke dhabbe aaj bhi rang ki parton ke neeche dafn hain
Jhagadne waale kab ke chale gaye
In subooton ko yahan dafnaa kar
Meri seedhiyon per pyaar bhi parwaan chadhaa
Chhat ko jaane waali seedhiyon per
Bichadna neeche hi hota hai.
Barsaaton se muqaabla karta raha main
Per waqt ne halaat ne ghaflat ne
Mujhe kamzor kar diya
Ye ek shakhs jo aaj mujhe ghar kehta hai
Ek waqt tha aisa bhi ke yeh
Mujhe chhod ke jaane waala tha
Per jab iski maa ki mitti yahan se uthi
To wo jaise yahin baith gaya
Shayad apne maa ke aks to dhoondh raha hai
Mere un tukdon mein jo ab har manzil se girne lage hain
Kya usey nahin maaloom main to bus ik bejaan imaarat hoon
Uski kami main kahan se poori kar paaunga
Per mujhe pata hai uska dard
Jab wo raaton ko sota nahin hai
Apni maa se baatein na kar paane per
Jab wo apne bachhon ko kahaniyan sunaata hai
Wohi jo usko sunayee thi uski maa ne
Jab wo us sandook ko kabhi kabhi khol kar rota hai
Jisme uski maa ne kapdon ke tukde yunhi rakh diye thhey, aadatan
Jab wo har khidki se us barsaat ke intezaar karta hai
Jo ab kabhi na aayegi
Ab koi us georgette ka dupatta pehenta hi nahin
Jiske kone se uski aank poochi jaati thi
Jaise regmal ka kagaz mall gaya ho
Per surma lagne se pehle bhag jaata tha wo
Maine sab dekha hai
Main sab jaanta hoon
Per main to imarat hoon
Uski maa nahin hoon
Mujhse jitna ban paayega ho chuka
Ab main bhi tukdon mein mil raha hoon
Usi mitti se jisper mein khadaa hoon
Per yahi soch kar khada hoon ki
Apne is makeen ko kya kahun
Iska kya karun
Isse yeh bhi to nahin keh sakta main bezubaan
Ki wo jo iske saath apni zindagi guzaar rahi hai
Wo jiska bachpan kisi aur imarat mein guzra
Kharch ho rahi hai jo iske saath resha resha paravrish ke bazaar mein, baccho ke wastey
Wo bhi to hai meri tarah, kabhi teer ki tarah seedhi
Ab umr aur humsafari ke bojh tale jhukti jaa rahi hai
Iske bachchon ki maa
Main to uske baare mein soch ke pareshaan hoon
Main kya karun
Ye kahaani mujhse phir na dekhi jayegi
Main kya karun

Tuesday, August 4, 2015

Tha ek kagaz kora sa

Tha ek kagaz kora sa, 
kuch dhabbe roshnaii ke
umad'te arzoo-on ki khalish, 
kuch khaab rihaee ke

ik nigaah palat'ti hui 
pard'on mein simat'tee hui
kuch inayat hasrat ki, 
kuch pinjare duhaee ke

dooobti hain khwahishain
Girne se us nigaah ke, 
faaslon mein dard ke
hausle qaraar ke

pareshan hai kehkashaan
dil lage sambhaal ke
daud na jaye phir se ye
Lamhe chand visaal ke

Sunday, July 12, 2015

Bhantai Ghazal


BHANTAI GHAZAL

Ek shaq hai ek jo apne ko roj kha raila hai
Time pass hai ki time apun ko kha raila hai

auto ne band bajaa diyeli hai traffic ki 
Aur shareauto full, bus khali jaa raila hai

Malum nahin is sheher ko agla kaun choosega
Jo choosta nahin wo siddhaa khaa raila hai.

Omlet pau ko raste pe laane ke baad punter
hotel mein ja ke vada sambhar kha raila hai

Ye phoolon ki sej bhi solid hoingi nahin?
Apun to jaanu ko fattar per le ke ja raila hai

Beta din bhar gaadi mein babes firaa raila
Aur baap roj local se Marine Lines jaa raila hai

Waise mere dost sab type ke hain lekin
Jo building nahin banaa raila wo film bana raila hai

Waise ye shehar kisi saanp se kam nahin "Quateel"
Apne ko paida kiya abhi roz kha raila hai

22 July 2013

Saturday, January 31, 2015

Koi karta nahin vaada nibhaane ko

koi karta nahin vaada yahan nibhaane ko 
aur bhool se jaan leta hoon main zamane ko 

Jo baha aaya tha main samandar mein 
wo tere khat aaj laute mujhe jalaane ko 

tere peeche kisi se roothta bhi nahin 
ab na aayega koi mujhe manaane ko 

pata hi nahin kab saans rok di meri wo haath aaye thhey sar dabaane ko 

vehshat hoti hai jab khamoshiyon mein 
bachchon se kehta hoon shor machaane ko 

humare darmiyaan faasle ki kami na thi 
so main bhi chal padaa use mitaane ko 

'Quateel' koi rasta nikalo ki manzilein 
milti nahin raaston ke diwaane ko

Wednesday, December 3, 2014

Chuim Village

Chuim Village
Taras jaata hoon pedon ki chaaon ko
shahar kha gaya mere chote se gaon ko
phool kaanton waali jhaadiyan hui ghayab
ab to keel hi chhubhti hai paon ko
pardes jaa kar bas gaye yahan ke poot
chhod girte gharon mein maaon ko
khaane ko machli bhi kahin aur se aati hai
koli ne chhod diya pani mein le jana naao ko
Shor ab is qadar badh jaata hai aksar
mann dhoondhtaa hai gair panaahon ko
tera jeevan to yahin guzra hai quateel
kaise chhodega in namkeen hawaaon ko

This is about my village in mumbai, where i lived all my life. and also the problems of all villages within cities.

Sunday, July 20, 2014

Jo Kho Gaya Usey Bhool Ja

Jo kho gaya usey bhool ja
Main hoon darbadar mere saath aa
Jo mila use kabhi liya nahin
manzil per kyun ruka nahin

Koi beniyaaz koi benawaa
Yun hua ke hum ho gaye judaa
mera maan rakh kuch asar dikha
Ye na jataa ki tujhe kuch hua nahin

Mujhe jaan ke aziyaton ki sanad
Mere humkadam bhulaa nahin
Main shajar ki wo chhanni dhoop hoon
Lams jiska kabhi chubhaa nahin

Meri jaan tune li hai to
Ye karz bhi mujhper chadha nahin
Ek gumaan ki koi mere saath hai
Arsaa hua huaa nahin

Jo ho chuka use bhool ja
Main hoon darbadar mere saath aa

Ibn e Maryam hua kare koi

"Ibn e mariyam hua kare koi
Mere dukh ki dawaa kare koi"

Sar e aam kuch hota hi nahin
sab se chhupke mila kare koi

Ghamgeen kayii fasaane hain
hans ker mila kare koi

Ujalat mein hai yahi hasrat
Mere liye bhi sajaa kare koi

Diljooi ki tawakko nahin yaaron
Khoon e dil kab tak saha kare koi

Kehte hain ki main zinda hoon
Mujhsa na maraa kare koi
----------------------------------

matlaa Mirza Asadullah Khan 'Ghalib' ka hai. baaki ke ashaar mere.



Saturday, May 3, 2014

Jaane de

Le le dhadkan dil se, shauq e nazar jaane de
'Pahle maazi ka koi zakhm to bhar jane de'

Doobta sooraj kehta hai har kinare se
Chhod saath mera mujhko ghar jaane de

Aaya hoon duniya mein ek khayal ban ke
Hain khushboo mere khaab bikhar jaane de 

Gaate hue ik deewana guzra galee se uski
kaise batlaaye zubaan us per asar, jaane de

Baat zubaan ki hai Quateel baat behr ki hai
Seekh bhi jaayega tu magar jaane de

Nazar pre sharm o haya ka hisaar baaki hai

'Nazar per sharm o haya ka hisaar baaki hai' 
Gulshan mein kaanton ka shumaar baaki hai

Har kaam usne kiya jo thha mushkil
Isi ka mere dil mein ghubaar baaki hai

Andheron ki hukumat hai chaar su lekin
Suna hai roshni ka ek dayaar baaki hai

Main gir chuka hoon jo apni nazron mein
Saamne duniya ke meyaar baaki hai

Chamakti hai ankh sun k taap ghode ki
Is mazdoor mein ek zamindaar baaki hai

Kya kahun main tabeeb se aur kaise
Ki meri neendon mein bukhaar baaki hai

Duniya mujhse door

Duniya mujhse door chalee jaa rahi hai
Jaate jaate mujhse khulee jaa rahi hai

Rishta to sar e aam mar gaya tha
Kyun dil mein chitaa jalee jaa rahi hai

Na likhi ho apni mulaqaat phir bhi 
Ek dastaan dekho banii jaa rahi hai

Aaj jhoothe vaade sa ise tootna hai
kamar zapt ki yun kasii jaa rahi hai

Parastish ki aagosh mein aa ke dekha
Zanjeer ibaadat ki khuli jaa rahi hai

beshaoor guzara sabhi ka ho gaya hai
Koyal raat mein bhi gaaye jaa rahi hai

Meri zindagi ke parde per ye duniya
Roz nayi film dikhaye jaa rahi hai

Ilzaam

Kya mere dil ka tujhper upkaar nahin
Isko Tere siva kisi se sarokaar nahin

Dua kar mera jee laga rahe tujhmein 
Mere jaisa doosra parastaar nahin

Ye ishq hai ya ehsaan hai tu hi bataa
Sach jo bhi ho mujhe inkaar nahin

Tinkon se jo sirf ghonsla bana paaye
Mazdoor kehte hain use fankaar nahin

Jhukne waala sar ye jaanta hai
Use ghuroor ki koi darkaar nahin

Meri baat ke chauntis matlab hote hain
Iska teen nahin to uska chaar nahin

Doughnut khaate khaate ye khayal aaya
Iske markaz mein bhi sarkaar nahi

Monday, March 3, 2014

Na milne ki ummeed na gham bichadne ka,
Is faasle ne rishta sambhaal rakkha hai

Saturday, January 18, 2014

Dar o deewar hum apni sajaa rahe hain

Dar o deewar hum apni sajaa rahe hain
Wo kahin aur tasveer taangne ja rahe hain

Mehfil mein humein bula kar dekho kaise 
Raqeeb-shumari humse wo karwaa rahe hain

Un logon ka anjaam kya hoga ab dekhein
Ujade khaime bhi jo loot'te ja rahe hain 

Ghar dhank bhi diya aaino se humne yaaro
Ye kyun ghar mein patthar nahin aa rahe hain

Zeest roshan karte ye armaanon ke sholay
Baraste farebon se bujhe jaa rahe hain

Monday, November 18, 2013

Apni ena mein giraftaar hoon main

Apni enaa mein giraftaar hoon main
Sahal manzil ko dushwaar hoon main

Aasmani fitna kehta tha main usko
kya ek satehi khalafshaar hoon main

sab kuch tha mera jab wo mera tha
Ab taghaaful ka ishtehaar hoon main

Reh gayee ho jo apne naseeb ko rone ko
Khandahar ki wo sabit dewaar hoon main

Mujhse milne se pehle ye jaan lo
ishq jaisa ek la ilaaj azaar hoon main

ab ek bhi tasveer ban nahin paati
ab apne hi tasavvur se do chaar hoon main

Wednesday, July 24, 2013

Vaaston hawaalon

Vaaston, havaalon mein nahin aane wala
Andekha ansuna hota hai jiska bulaane wala

Jab tak saansein chalti hain khel hi hota hai
Laut'ta nahin isiliye jahan se jaane wala

Vaada karne se pehle tum phir soch lo
Us din main wahan se akela nahin aane wala

Pur asar sadaa e taleem mein ajzaa e be asar
Maktab tak aata bhi hai andar nahin jaane wala




April 9free

Wednesday, June 12, 2013

Jiske haath jitna aaye utna wo le jaaye

Jiske haath jitna aye utna wo le jaaye
maal sarkari ho to hissa kaun lagaaye

Marta hai to mareez mar bhi jaaye
Maseeha hain so rahe kaun jagaaye

Muflis musalmaan jo ho jaaye
Wo phir bechaara bhi na kehlaaye

Putla banao to pathhar ka yaaro
Lohe ko zang akhir khaa hi jaaye

Sadte jhooth khoob hain sab nigal rahe
Pet ek din phool ke phat na jaaye

Lafzon mein zeher utartaa kyun nahin
Ragon mein ise kab tak koi daudaaye

Aye jo poochne log ustaad ke usko
'Quateel' sar jhukaaye bas muskuraaye

Friday, May 17, 2013

Khaahishein Behisaab Rakhte Hain

Khaahishein behisaab rakhte hain
Us par arzu e savaab rakhte hain

Taghaaful kare baghbaan to hum
Kaliyon per shabaab rakhte hain

lab pe sawaal le kar aayein hain
Jo ankhon mein kitaab rakhte hain

Hum ehl e sehra e furqat daraaz
Har lamhe ka hisaab rakhte hain

Baatein banaate nahin 'Quateel'
Ek yahi aib janaab rakhte hain

Quateel Ahmad
17 May 2013

Friday, May 3, 2013

Na baaz aaye hum

Hai girebaan chaak nasheman jala aaye hum
ab tak aise naaseh se kyun na baaz aaye hum

Is dayaar mein apni bhi kuch izzat numa si thi
Maamooli se ik mehfil thi aur lutaa aaye hum

Wo bhool na jaaye humein koi saaneha to ho
Mehfil rang pe aayi to usey chhod aaye hum

Khushfehmiyon se apne puraane rusooq hain
Jo phool le gaye to zakhm le kar aaye hum

Quateel Ahmad
May 2, 2013 Mumbai

Friday, April 5, 2013

Teri judai ka mujhko gila nahin...

Teri judaai ka mujhe koi gilaa nahin
Ye gham kisi aur ko to milaa nahin

Mere bharose ko khoob todte rahe
Main us se oob gaya tha hila nahin

Sare kaam baa tarteeb ba asool hon
Ab tak aisa mauka mujhe mila nahin

Saanvle log rang nahin badal paate
Ye raaz mujh par abhi khula nahin

Tera ishq bada kamzarf hai 'Quateel'
Marta hai marne de ise jilaa nahin

Quateel Ahmad
1 April 2013

Sunday, March 17, 2013

Kya nahin rehta

Saadabayaani mein uski kya kya nahin rehta
Maani hai ek waazeh to dujaa nahin rehta

Main uske chhall ka zikr karun to phir kahaan
Miley wo ghar jaa bhakt uska nahin rehta

Khaamiyaan hain mujhmein bhi par ye nahin
Jidhar ka pata diya hai wahaan nahin rehta

kin farebon ke supurd kiya gham e hayaat ne
Ujaala nahin hota ke andhera nahin rehta

Chup gaya dekar mujhko zindagi ki kitaab wo
Lafz aisa nahin jisme pata uska nahin rehta

Quateel Ahmad
March 14, 2013