Showing posts with label urdu short story. Show all posts
Showing posts with label urdu short story. Show all posts

Sunday, July 12, 2015

Bhantai Ghazal


BHANTAI GHAZAL

Ek shaq hai ek jo apne ko roj kha raila hai
Time pass hai ki time apun ko kha raila hai

auto ne band bajaa diyeli hai traffic ki 
Aur shareauto full, bus khali jaa raila hai

Malum nahin is sheher ko agla kaun choosega
Jo choosta nahin wo siddhaa khaa raila hai.

Omlet pau ko raste pe laane ke baad punter
hotel mein ja ke vada sambhar kha raila hai

Ye phoolon ki sej bhi solid hoingi nahin?
Apun to jaanu ko fattar per le ke ja raila hai

Beta din bhar gaadi mein babes firaa raila
Aur baap roj local se Marine Lines jaa raila hai

Waise mere dost sab type ke hain lekin
Jo building nahin banaa raila wo film bana raila hai

Waise ye shehar kisi saanp se kam nahin "Quateel"
Apne ko paida kiya abhi roz kha raila hai

22 July 2013

Sunday, July 20, 2014

Jo Kho Gaya Usey Bhool Ja

Jo kho gaya usey bhool ja
Main hoon darbadar mere saath aa
Jo mila use kabhi liya nahin
manzil per kyun ruka nahin

Koi beniyaaz koi benawaa
Yun hua ke hum ho gaye judaa
mera maan rakh kuch asar dikha
Ye na jataa ki tujhe kuch hua nahin

Mujhe jaan ke aziyaton ki sanad
Mere humkadam bhulaa nahin
Main shajar ki wo chhanni dhoop hoon
Lams jiska kabhi chubhaa nahin

Meri jaan tune li hai to
Ye karz bhi mujhper chadha nahin
Ek gumaan ki koi mere saath hai
Arsaa hua huaa nahin

Jo ho chuka use bhool ja
Main hoon darbadar mere saath aa

Saturday, May 3, 2014

Jaane de

Le le dhadkan dil se, shauq e nazar jaane de
'Pahle maazi ka koi zakhm to bhar jane de'

Doobta sooraj kehta hai har kinare se
Chhod saath mera mujhko ghar jaane de

Aaya hoon duniya mein ek khayal ban ke
Hain khushboo mere khaab bikhar jaane de 

Gaate hue ik deewana guzra galee se uski
kaise batlaaye zubaan us per asar, jaane de

Baat zubaan ki hai Quateel baat behr ki hai
Seekh bhi jaayega tu magar jaane de

Nazar pre sharm o haya ka hisaar baaki hai

'Nazar per sharm o haya ka hisaar baaki hai' 
Gulshan mein kaanton ka shumaar baaki hai

Har kaam usne kiya jo thha mushkil
Isi ka mere dil mein ghubaar baaki hai

Andheron ki hukumat hai chaar su lekin
Suna hai roshni ka ek dayaar baaki hai

Main gir chuka hoon jo apni nazron mein
Saamne duniya ke meyaar baaki hai

Chamakti hai ankh sun k taap ghode ki
Is mazdoor mein ek zamindaar baaki hai

Kya kahun main tabeeb se aur kaise
Ki meri neendon mein bukhaar baaki hai

Friday, April 5, 2013

Teri judai ka mujhko gila nahin...

Teri judaai ka mujhe koi gilaa nahin
Ye gham kisi aur ko to milaa nahin

Mere bharose ko khoob todte rahe
Main us se oob gaya tha hila nahin

Sare kaam baa tarteeb ba asool hon
Ab tak aisa mauka mujhe mila nahin

Saanvle log rang nahin badal paate
Ye raaz mujh par abhi khula nahin

Tera ishq bada kamzarf hai 'Quateel'
Marta hai marne de ise jilaa nahin

Quateel Ahmad
1 April 2013

Sunday, March 17, 2013

Kya nahin rehta

Saadabayaani mein uski kya kya nahin rehta
Maani hai ek waazeh to dujaa nahin rehta

Main uske chhall ka zikr karun to phir kahaan
Miley wo ghar jaa bhakt uska nahin rehta

Khaamiyaan hain mujhmein bhi par ye nahin
Jidhar ka pata diya hai wahaan nahin rehta

kin farebon ke supurd kiya gham e hayaat ne
Ujaala nahin hota ke andhera nahin rehta

Chup gaya dekar mujhko zindagi ki kitaab wo
Lafz aisa nahin jisme pata uska nahin rehta

Quateel Ahmad
March 14, 2013

Monday, March 11, 2013

March of the Mango People

Ek damaad ne is mulk ke aam logon ko 'Mango People' kaha tha.... Ye uspar likha tha...

Naye raaste se manzil ko aaj chalo
Guzre kal ko bhulaa ke aaj chalo

Aage chalo peeche ya saath chalo
Phir kabhi na sahi per aaj chalo

Le ke haathon mein tum haath chalo
Kal na pachhtaana ho to aaj chalo

Ban ke hasrat tum betaab chalo
Bahaa do sab, ban ke sailaab chalo

Anginat niklo behisaab chalo
Lautaane aankhon mein hain khaab chalo

Mulk ho gaya hai bezaar chalo
Aur kitne sahoge ispe vaar chalo

Naunehaalon tumhi ho sartaaj chalo
Looteron se cheen lein aao raaj chalo

Quateel Ahmad
17 October 2012

Monday, February 18, 2013

Zubaan rakhte hain


Haan jo haasil e ilm zubaan rakhte hain
Apne lehje ka bhi dhyaan rakhte hain

Aksar karte hain jo daave tajurbe ke
baal apne siyaah imkaan rakhte hain

Roz jalte hain waswason ki lapton mein
Jo ghar mein ek beti jawaan rakhte hain

Teer e talab kabhi udhar se nahin aata
bhanvon mein kyun kamaan rakhte hain

Wo khul ke hanste hue bhi dekhe gaye 
lehja sirf hum se natavaan rakhte hain

nasiihat se jinki ghuroor tepakta tha
Muflisi mein bada itmenaan rakhte hain

Quateel Ahmad
15 February 2013

Monday, January 21, 2013

Fone per baat karta hai rabt se malaal, achcha hai
Wo mujhse door gar, rahta hai khush haal achcha hai

Jiske goshon mein naummeedi ki fasal hi lehlahaaye
Us khet mein building banane ka khayal achcha hai

Bahot sharaab pilayi hai aaj mujhe raqeebon ne
Doobe may-e-hasad mein khumar-e-visaal achcha hai

Na mujhse Urdu bol, wa mun Turkie nami danum
Jo do zubaan rakhta ho aaj usika haal achcha hai

Quateel Ab ek hi shakhs ko shiddat se dhoondiye
Wo brahman jisne kaha tha ye saal achcha hai

Friday, November 23, 2012

Kya zaroori hai

Tujhse mohabbat is dil ki majboori hai.
Kya yeh adaa e berukhi zaroori hai

Chaand aur sooraj bhi ek ho jaate hain
Dilon ka garhan lagna kya zaroori hai

Har maikade mein tu dikhaayi deta hai
Hosh khone ko uska hona zaroori hai

Hausle ko mere farogh dete hain
Mera girna jinke liye zaroori hai

Mausam e gul mein sirf kaliyaan hain
Is soorat e haal mein dakhal zaroori hai

Dast-bardaar na ho itni jaldi mein
Bojh ki nazaakat samajhna zaroori hai

Quateel Ahmad
12 November 2012

Friday, October 19, 2012

KYA BAN KE

Mil naseeb ban ke

Bol saaz ban ke
Baras abr ban ke
Taras pyar ban ke
So bachcha ban ke
Sun mann ban ke
Naach khushi ban ke
Chadh jawaani ban ke
Thehar gham ban ke
Jaag ishq ban ke
Badal mausam ban ke
Bichad saathi ban ke
Jee dariyaa ban ke
Mar khwahish ban ke
Quateel Ahmad
18 October 2012

Wednesday, December 28, 2011

Shayad Ek Short Story


Kal puraane purzay padh raha tha,
Aur saath bahut kuch kar raha tha
Phir us khat par nazar gayee
Bheege lafaaz par jaa kar ruk gayee
Waqt jaise thehar gayaa
Yaad un dinon ki aane lagi

Main kuch sher likh kar
apne saath le chalta
Aur pulia par tumhaari rah takta
Phir bade dheere se chalta hua
Tumhara rickshaw dikhayee deta
Rickshevaan dubla patla
Pehle ek pedal par khada hota
Phir doosre pedal par
Isi tarah uski savaari aage badti

Besabri se nazdeek aane ka intezaar
Main karta rehta lekin
Kabhi aage badh kar nahin mila
Jaise hi mere barabar aa jaata
Main apni cycle chalane lagta
Phir sadak par bheed kam dekh kar apna purza tumhaare haath mein deta
Tum leti bhi aur nahin bhi
Phir thodi der baad khol kar padhti

Bachpan ki shaayri mein
armaan zyaada aur wazan kam
Padhte hue nikal jaati thi tum
Na kabhi palat kar dekha
Na ruke na salaam dua
Mera bhi department aa jaata
Aur tumhein aage jaana rehta

Kitne din chalaa ye silsila
Sirf chuttiyon mein rukta
Main bhi tumhaare
jaane ke baad ghar jaata tha
aur aane ke pehle aa jaata
Kabhi baat nahin hui
Bas classes ke timing
dekh kar pataa lagta
Ki kab lautna hai

Bade bechain din thhe wo
Jab main laut aata tha aur tum nahin
Phir ek din aisa bhi aaya
Exams khatam hue aur hum sab
Hamesha ke liye campus chhod kar
Duniya mein utar rahe thhey

Ek ajeeb mahaul chha gaya dil mein
Ek khaalipan jo aaj bhi barf ke andar
Phanse havaa ke bulbule jaisa hai
Jo us waqt bana jab main
Tumhaare rickshe ke saath
Jisme tumhaara samaan bhi tha
Station jaa raha thha
Tumhein chhodne
Iraada phir milne ka thha
Darr judaai ka

Phir tumne mere haath mein
Ek purza rakh diya
Maine badi mushkil se use jeb mein rakha
Mann keh raha tha ki usi waqt
Padh daalun lekin
Gaadi ka waqt ho gaya thha

Tumhaare hostel ki doosri ladkiyan
Platform par thi
aur mujhe khayaal aaya
Ki tum unke saath station nahin aayi
Alag se taaki main saath chal sakun
Aur tum mujhe ye chiththi de sako

Gaadi chali gayee
Bahot der tak station ke bahar
main ruka raha
Dil ko behlaane lagaa
Ye to dosti thi pyaar nahin
Pyaar hota to baat aur hoti
Main uska haath thaamta
Rukne ko kehta

Lekin yeh dil ne kuch nahin suna
Bas apne andar ek jagah khaali chhod di
Jahaan kuch gaya us din ke baad

Maine kabhi usse nahin poocha ki
Mere purzon ka kya hota tha
Phaadey jaate ya sahej ke
kitaab ke warq ke beech dhare jaate
Sher to maine kitaab mein bhi likhe thhey

Na jaane kab station se campus pahunch gayaa
Bada ajanabiyon sa mehsoos ho raha tha
Mann hua jhat se main bhi
is jagah se door chala jaaoon
Ab waise bhi rakha kya hai
Ek imtihaan khatam ho gaya
Aur doosre mein fail ho gaye

Kamre pahunchaa aur laet gayaa
Uska diya khat nikaala
pet par rakh kar sochne laga
Kya hai isme?
Uska pata? Uska number?
Itne din ke benaam saath ka alvidaai iqraar?
Padhne laga

'Aap shayar hain, jo sher aapne mujhe diye
Ummeed hai aapke paas bhi likhe hain
Kyun ki main saare khat apne saath le jaa rahi hoon.
Koi pooche ki kitne bade shayar hain
To yeh keh dijiye ki
Deewane lakhon baar aapke sher padh chuke hain
Aur baat sahi hai, is diwaani ne lakh se zyaada baar padh liya hai. Aur meri janib se aap ke liye kuch alfaaz hain Ghalib ke....aur bhi gham hain zamaane mein muhabbat ke siva... Ab aap ise wajah samjhein ya bahaana'


Yaad khatam ho gayee
Aur bete ne poochha
'Kya aap sachmuch ke shayar hain?'
Main hansa aur keh diya.... 'Nahin beta zehni taur par kangaal hain jo apni yaadon ki tijarat alfaaz ke lifaafon mein karte hain.'

'To phir yeh kya hai' puraane khat ko dikhaate hue poocha.
Maine kaha
'birth certificate'

Saturday, July 3, 2010

Aaj Bhi Hai

Mile the jaise khwaabon mein hum tum,
ek kasak bedaar aaj bhi hai

Khule jo raaz gesuon ke chandni raat mein,
saanson mein mehak aaj bhi hai

Aaj bhi damakti hai tere vaaste chashme nam,
soona soona ye sehen aaj bhi hai

Yaadon se hi karta hoon apne din roshan,
nazar andhere ki mujh par aaj bhi hai

Mazii mein sahare kab tak dhoondhun,
Aao ki duniya se bair aaj bhi hai

Apni hasti ka jurmana to de diya

Tum se baaki hisaab aaj bhi hai