Showing posts with label shairy. Show all posts
Showing posts with label shairy. Show all posts

Friday, August 12, 2016

Aimless Restless Evenings

Aimless restless evenings 
lead to peaceless calmless nights
shapeless hopeless mornings follow
that baseless endless afternoons build upon
and this ceaseless cycle of ennui repeats.
Today somewhere a song plays
'Live is life'
Later they'll say I had smiled.

Sunday, July 20, 2014

Jo Kho Gaya Usey Bhool Ja

Jo kho gaya usey bhool ja
Main hoon darbadar mere saath aa
Jo mila use kabhi liya nahin
manzil per kyun ruka nahin

Koi beniyaaz koi benawaa
Yun hua ke hum ho gaye judaa
mera maan rakh kuch asar dikha
Ye na jataa ki tujhe kuch hua nahin

Mujhe jaan ke aziyaton ki sanad
Mere humkadam bhulaa nahin
Main shajar ki wo chhanni dhoop hoon
Lams jiska kabhi chubhaa nahin

Meri jaan tune li hai to
Ye karz bhi mujhper chadha nahin
Ek gumaan ki koi mere saath hai
Arsaa hua huaa nahin

Jo ho chuka use bhool ja
Main hoon darbadar mere saath aa

Ibn e Maryam hua kare koi

"Ibn e mariyam hua kare koi
Mere dukh ki dawaa kare koi"

Sar e aam kuch hota hi nahin
sab se chhupke mila kare koi

Ghamgeen kayii fasaane hain
hans ker mila kare koi

Ujalat mein hai yahi hasrat
Mere liye bhi sajaa kare koi

Diljooi ki tawakko nahin yaaron
Khoon e dil kab tak saha kare koi

Kehte hain ki main zinda hoon
Mujhsa na maraa kare koi
----------------------------------

matlaa Mirza Asadullah Khan 'Ghalib' ka hai. baaki ke ashaar mere.



Saturday, May 3, 2014

Duniya mujhse door

Duniya mujhse door chalee jaa rahi hai
Jaate jaate mujhse khulee jaa rahi hai

Rishta to sar e aam mar gaya tha
Kyun dil mein chitaa jalee jaa rahi hai

Na likhi ho apni mulaqaat phir bhi 
Ek dastaan dekho banii jaa rahi hai

Aaj jhoothe vaade sa ise tootna hai
kamar zapt ki yun kasii jaa rahi hai

Parastish ki aagosh mein aa ke dekha
Zanjeer ibaadat ki khuli jaa rahi hai

beshaoor guzara sabhi ka ho gaya hai
Koyal raat mein bhi gaaye jaa rahi hai

Meri zindagi ke parde per ye duniya
Roz nayi film dikhaye jaa rahi hai

Ilzaam

Kya mere dil ka tujhper upkaar nahin
Isko Tere siva kisi se sarokaar nahin

Dua kar mera jee laga rahe tujhmein 
Mere jaisa doosra parastaar nahin

Ye ishq hai ya ehsaan hai tu hi bataa
Sach jo bhi ho mujhe inkaar nahin

Tinkon se jo sirf ghonsla bana paaye
Mazdoor kehte hain use fankaar nahin

Jhukne waala sar ye jaanta hai
Use ghuroor ki koi darkaar nahin

Meri baat ke chauntis matlab hote hain
Iska teen nahin to uska chaar nahin

Doughnut khaate khaate ye khayal aaya
Iske markaz mein bhi sarkaar nahi

Saturday, January 18, 2014

Dar o deewar hum apni sajaa rahe hain

Dar o deewar hum apni sajaa rahe hain
Wo kahin aur tasveer taangne ja rahe hain

Mehfil mein humein bula kar dekho kaise 
Raqeeb-shumari humse wo karwaa rahe hain

Un logon ka anjaam kya hoga ab dekhein
Ujade khaime bhi jo loot'te ja rahe hain 

Ghar dhank bhi diya aaino se humne yaaro
Ye kyun ghar mein patthar nahin aa rahe hain

Zeest roshan karte ye armaanon ke sholay
Baraste farebon se bujhe jaa rahe hain

Monday, November 18, 2013

Apni ena mein giraftaar hoon main

Apni enaa mein giraftaar hoon main
Sahal manzil ko dushwaar hoon main

Aasmani fitna kehta tha main usko
kya ek satehi khalafshaar hoon main

sab kuch tha mera jab wo mera tha
Ab taghaaful ka ishtehaar hoon main

Reh gayee ho jo apne naseeb ko rone ko
Khandahar ki wo sabit dewaar hoon main

Mujhse milne se pehle ye jaan lo
ishq jaisa ek la ilaaj azaar hoon main

ab ek bhi tasveer ban nahin paati
ab apne hi tasavvur se do chaar hoon main

Tuesday, August 14, 2012

Sulagta hai dil

Sulagta hai dil to karta hai sawaal bhi,
mohabbat mein aati hai subh e zavaal bhi

khamoshi mein hain pardadari ki alamatein,
tanhaiyon main panapte hain malaal bhi

muskurate ho ab bhi baatein karte ho,
rakhte ho dil mein bewafa khayal bhi

gile kya karun tum se kya shikayatein,
sannaate bhi hain sukoon la muhaal bhi

nibah rahe hain is salikay se rasm e duniya,
guzre chand roz phir mahine aur saal bhi

main apna haal e dil bayaan na kar paoon,
teri ankhen bhi khushk hain laal bhi