Showing posts with label urdu poetry. Show all posts
Showing posts with label urdu poetry. Show all posts

Tuesday, August 4, 2015

Tha ek kagaz kora sa

Tha ek kagaz kora sa, 
kuch dhabbe roshnaii ke
umad'te arzoo-on ki khalish, 
kuch khaab rihaee ke

ik nigaah palat'ti hui 
pard'on mein simat'tee hui
kuch inayat hasrat ki, 
kuch pinjare duhaee ke

dooobti hain khwahishain
Girne se us nigaah ke, 
faaslon mein dard ke
hausle qaraar ke

pareshan hai kehkashaan
dil lage sambhaal ke
daud na jaye phir se ye
Lamhe chand visaal ke

Saturday, January 31, 2015

Koi karta nahin vaada nibhaane ko

koi karta nahin vaada yahan nibhaane ko 
aur bhool se jaan leta hoon main zamane ko 

Jo baha aaya tha main samandar mein 
wo tere khat aaj laute mujhe jalaane ko 

tere peeche kisi se roothta bhi nahin 
ab na aayega koi mujhe manaane ko 

pata hi nahin kab saans rok di meri wo haath aaye thhey sar dabaane ko 

vehshat hoti hai jab khamoshiyon mein 
bachchon se kehta hoon shor machaane ko 

humare darmiyaan faasle ki kami na thi 
so main bhi chal padaa use mitaane ko 

'Quateel' koi rasta nikalo ki manzilein 
milti nahin raaston ke diwaane ko

Sunday, July 20, 2014

Jo Kho Gaya Usey Bhool Ja

Jo kho gaya usey bhool ja
Main hoon darbadar mere saath aa
Jo mila use kabhi liya nahin
manzil per kyun ruka nahin

Koi beniyaaz koi benawaa
Yun hua ke hum ho gaye judaa
mera maan rakh kuch asar dikha
Ye na jataa ki tujhe kuch hua nahin

Mujhe jaan ke aziyaton ki sanad
Mere humkadam bhulaa nahin
Main shajar ki wo chhanni dhoop hoon
Lams jiska kabhi chubhaa nahin

Meri jaan tune li hai to
Ye karz bhi mujhper chadha nahin
Ek gumaan ki koi mere saath hai
Arsaa hua huaa nahin

Jo ho chuka use bhool ja
Main hoon darbadar mere saath aa

Ibn e Maryam hua kare koi

"Ibn e mariyam hua kare koi
Mere dukh ki dawaa kare koi"

Sar e aam kuch hota hi nahin
sab se chhupke mila kare koi

Ghamgeen kayii fasaane hain
hans ker mila kare koi

Ujalat mein hai yahi hasrat
Mere liye bhi sajaa kare koi

Diljooi ki tawakko nahin yaaron
Khoon e dil kab tak saha kare koi

Kehte hain ki main zinda hoon
Mujhsa na maraa kare koi
----------------------------------

matlaa Mirza Asadullah Khan 'Ghalib' ka hai. baaki ke ashaar mere.



Saturday, May 3, 2014

Jaane de

Le le dhadkan dil se, shauq e nazar jaane de
'Pahle maazi ka koi zakhm to bhar jane de'

Doobta sooraj kehta hai har kinare se
Chhod saath mera mujhko ghar jaane de

Aaya hoon duniya mein ek khayal ban ke
Hain khushboo mere khaab bikhar jaane de 

Gaate hue ik deewana guzra galee se uski
kaise batlaaye zubaan us per asar, jaane de

Baat zubaan ki hai Quateel baat behr ki hai
Seekh bhi jaayega tu magar jaane de

Nazar pre sharm o haya ka hisaar baaki hai

'Nazar per sharm o haya ka hisaar baaki hai' 
Gulshan mein kaanton ka shumaar baaki hai

Har kaam usne kiya jo thha mushkil
Isi ka mere dil mein ghubaar baaki hai

Andheron ki hukumat hai chaar su lekin
Suna hai roshni ka ek dayaar baaki hai

Main gir chuka hoon jo apni nazron mein
Saamne duniya ke meyaar baaki hai

Chamakti hai ankh sun k taap ghode ki
Is mazdoor mein ek zamindaar baaki hai

Kya kahun main tabeeb se aur kaise
Ki meri neendon mein bukhaar baaki hai

Duniya mujhse door

Duniya mujhse door chalee jaa rahi hai
Jaate jaate mujhse khulee jaa rahi hai

Rishta to sar e aam mar gaya tha
Kyun dil mein chitaa jalee jaa rahi hai

Na likhi ho apni mulaqaat phir bhi 
Ek dastaan dekho banii jaa rahi hai

Aaj jhoothe vaade sa ise tootna hai
kamar zapt ki yun kasii jaa rahi hai

Parastish ki aagosh mein aa ke dekha
Zanjeer ibaadat ki khuli jaa rahi hai

beshaoor guzara sabhi ka ho gaya hai
Koyal raat mein bhi gaaye jaa rahi hai

Meri zindagi ke parde per ye duniya
Roz nayi film dikhaye jaa rahi hai

Ilzaam

Kya mere dil ka tujhper upkaar nahin
Isko Tere siva kisi se sarokaar nahin

Dua kar mera jee laga rahe tujhmein 
Mere jaisa doosra parastaar nahin

Ye ishq hai ya ehsaan hai tu hi bataa
Sach jo bhi ho mujhe inkaar nahin

Tinkon se jo sirf ghonsla bana paaye
Mazdoor kehte hain use fankaar nahin

Jhukne waala sar ye jaanta hai
Use ghuroor ki koi darkaar nahin

Meri baat ke chauntis matlab hote hain
Iska teen nahin to uska chaar nahin

Doughnut khaate khaate ye khayal aaya
Iske markaz mein bhi sarkaar nahi

Monday, November 18, 2013

Apni ena mein giraftaar hoon main

Apni enaa mein giraftaar hoon main
Sahal manzil ko dushwaar hoon main

Aasmani fitna kehta tha main usko
kya ek satehi khalafshaar hoon main

sab kuch tha mera jab wo mera tha
Ab taghaaful ka ishtehaar hoon main

Reh gayee ho jo apne naseeb ko rone ko
Khandahar ki wo sabit dewaar hoon main

Mujhse milne se pehle ye jaan lo
ishq jaisa ek la ilaaj azaar hoon main

ab ek bhi tasveer ban nahin paati
ab apne hi tasavvur se do chaar hoon main

Wednesday, June 12, 2013

Jiske haath jitna aaye utna wo le jaaye

Jiske haath jitna aye utna wo le jaaye
maal sarkari ho to hissa kaun lagaaye

Marta hai to mareez mar bhi jaaye
Maseeha hain so rahe kaun jagaaye

Muflis musalmaan jo ho jaaye
Wo phir bechaara bhi na kehlaaye

Putla banao to pathhar ka yaaro
Lohe ko zang akhir khaa hi jaaye

Sadte jhooth khoob hain sab nigal rahe
Pet ek din phool ke phat na jaaye

Lafzon mein zeher utartaa kyun nahin
Ragon mein ise kab tak koi daudaaye

Aye jo poochne log ustaad ke usko
'Quateel' sar jhukaaye bas muskuraaye

Friday, May 17, 2013

Khaahishein Behisaab Rakhte Hain

Khaahishein behisaab rakhte hain
Us par arzu e savaab rakhte hain

Taghaaful kare baghbaan to hum
Kaliyon per shabaab rakhte hain

lab pe sawaal le kar aayein hain
Jo ankhon mein kitaab rakhte hain

Hum ehl e sehra e furqat daraaz
Har lamhe ka hisaab rakhte hain

Baatein banaate nahin 'Quateel'
Ek yahi aib janaab rakhte hain

Quateel Ahmad
17 May 2013

Friday, May 3, 2013

Na baaz aaye hum

Hai girebaan chaak nasheman jala aaye hum
ab tak aise naaseh se kyun na baaz aaye hum

Is dayaar mein apni bhi kuch izzat numa si thi
Maamooli se ik mehfil thi aur lutaa aaye hum

Wo bhool na jaaye humein koi saaneha to ho
Mehfil rang pe aayi to usey chhod aaye hum

Khushfehmiyon se apne puraane rusooq hain
Jo phool le gaye to zakhm le kar aaye hum

Quateel Ahmad
May 2, 2013 Mumbai

Friday, April 5, 2013

Teri judai ka mujhko gila nahin...

Teri judaai ka mujhe koi gilaa nahin
Ye gham kisi aur ko to milaa nahin

Mere bharose ko khoob todte rahe
Main us se oob gaya tha hila nahin

Sare kaam baa tarteeb ba asool hon
Ab tak aisa mauka mujhe mila nahin

Saanvle log rang nahin badal paate
Ye raaz mujh par abhi khula nahin

Tera ishq bada kamzarf hai 'Quateel'
Marta hai marne de ise jilaa nahin

Quateel Ahmad
1 April 2013

Sunday, March 17, 2013

Kya nahin rehta

Saadabayaani mein uski kya kya nahin rehta
Maani hai ek waazeh to dujaa nahin rehta

Main uske chhall ka zikr karun to phir kahaan
Miley wo ghar jaa bhakt uska nahin rehta

Khaamiyaan hain mujhmein bhi par ye nahin
Jidhar ka pata diya hai wahaan nahin rehta

kin farebon ke supurd kiya gham e hayaat ne
Ujaala nahin hota ke andhera nahin rehta

Chup gaya dekar mujhko zindagi ki kitaab wo
Lafz aisa nahin jisme pata uska nahin rehta

Quateel Ahmad
March 14, 2013

Friday, March 15, 2013

Kuch ye duniya bhi jee behlaane lagi hai


Kuch ye duniya bhi jee behalaane lagi hai
Aur tu bhi kuch kam yaad aane lagi hai

turbat per meri aakar na mujhko sataana
Ba mushkil kahin to neend aane lagi hai

Besaakhta ab tu kyun kuch nahin kehti
Apni kis baat ko mujhse chupaane lagi hai

Neend se utha deta hai ek dard aksar
Aur chot pataa nahin kahaan lagi hai

Aiteraaz tujhe hai is ghar ke raqbe se
Saaro umr mujhe ise banaane mein lagi hai

Quateel Ahmad
March 2013

Monday, March 11, 2013

March of the Mango People

Ek damaad ne is mulk ke aam logon ko 'Mango People' kaha tha.... Ye uspar likha tha...

Naye raaste se manzil ko aaj chalo
Guzre kal ko bhulaa ke aaj chalo

Aage chalo peeche ya saath chalo
Phir kabhi na sahi per aaj chalo

Le ke haathon mein tum haath chalo
Kal na pachhtaana ho to aaj chalo

Ban ke hasrat tum betaab chalo
Bahaa do sab, ban ke sailaab chalo

Anginat niklo behisaab chalo
Lautaane aankhon mein hain khaab chalo

Mulk ho gaya hai bezaar chalo
Aur kitne sahoge ispe vaar chalo

Naunehaalon tumhi ho sartaaj chalo
Looteron se cheen lein aao raaj chalo

Quateel Ahmad
17 October 2012

Sher


Fark sirf tareekhon ka reh gaya akhbaaron mein
Chalon yaaron, surkhion ka bhi kuch kiya jaaye.

Monday, February 18, 2013

Zubaan rakhte hain


Haan jo haasil e ilm zubaan rakhte hain
Apne lehje ka bhi dhyaan rakhte hain

Aksar karte hain jo daave tajurbe ke
baal apne siyaah imkaan rakhte hain

Roz jalte hain waswason ki lapton mein
Jo ghar mein ek beti jawaan rakhte hain

Teer e talab kabhi udhar se nahin aata
bhanvon mein kyun kamaan rakhte hain

Wo khul ke hanste hue bhi dekhe gaye 
lehja sirf hum se natavaan rakhte hain

nasiihat se jinki ghuroor tepakta tha
Muflisi mein bada itmenaan rakhte hain

Quateel Ahmad
15 February 2013

Wednesday, January 30, 2013

WO LADKI

Wo Ladki
Mushkilon se usay muskurata dekha
Taaron ko din mein jagmagata dekha
Sweater ko kirnon mein nahata dekha
Kirnon se chehra bhi jhilmilaata dekha

Gehri aankhein hain gehre raaz liye
Zulfein apne mein sau andaaz liye
Chehra bhi hai suraj ka aizaz liye
Lab surkh mizaaj e shiraaz liye

Usne yaadon mein dil phansaa rakha tha
Muskuraahaton ko door bhagaa rakha tha
Itni masroof nahin jitna bataa rakha tha
Lekin maine bhi ek deep jalaa rakha tha
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Ye kya rishta hai jise humne banaa rakha hai
Sawaal kyun apne beech ek khadaa rakha hai

Yehi sawaal raaton ko jagaa rakhega
Ye aksar humein khudse khafa rakhega

Mere peeche uske aage hai zindagi badi aisi
Kya mere peeche hatne ki aa gayi ghadi aisi

Socha ki na de paaunga usko sab kuch
Haq mera banta hi nahin phir ab kuch
.
.
.
.
.
.
.
.
Koi pehle koi der se jeevan mein aata kyun hai
dopahar ko dil naya chand dikhaata kyun hai
baat ghalat hai to dil mujhe manata kyun hai
Zindagi ne khilona humein banaya kyun hai

Zimmedari aasan nahin hai is dil ki
Ek asmaan hadd nahin hai is dil ki
Bikharne ki zidd nayee hai is dil ki
main na sunoon ab koi baat is dil ki

Quateel Ahmad
23 Jan 2013