Tuesday, January 18, 2011

Tanhaiyan mujhse gale mil ke bahot roeen,
chala gaya wo jo tha darmiyan

Kya Hai Kya Nahin

Koi nuktachin, raqueeb bebak nahin,
teri bazm mein ab vo baat nahin,

quateel main hua uske karam se
use qatil kehna, buri baat nahin

ranjeeda hun aise ki ek baar
khushi mili thi, baaz auqaat nahin

itna sochta hai kyun uske baare mein
wo khuda hai, tere bas ki baat nahin

chhod doon tere liye duniya ko
tujhme aisi to koi baat nahin

Ho Raha Hai

Itna taveel intezar hota raha hai
surkh savera bhi javaan ho raha hai

Sochta hoon raah e wafaa chhod doon,
Wo to ab roz mera dil tod raha hai

Ho rahe yahan saude aish ke ishtrat se
Aur nakaam ashiq wahan sir phod raha hai

Deewanon ko apnate nahin, hamdardi to rakhte hain,
Tere dar pe ye dastoor bhi dum tod raha hai

Gham e furqat mein jaan dene ka jee chahe
Ishq apna ye chalan bhi chhod raha hai

Dard aaj phir leher ban ke ubhara hai
Quateel lehje mein kasar chhod raha hai