Monday, April 30, 2012

Maikhaana

Maikade mein le zehen behosh aata hai
Jaam uthaane per hi usko hosh aata hai

Dastoor-e-mai jaanta hoon main faqat itna
Chadti hai usko ghoont jo ghutne ko aata hai

zubaan larzey na kabhi hain pair lad'khadate
Fun ye maahir zinda kharaabon ko aata hai

Dil kiye pathhar sile lab liye dinbhar
Har shaam wo jaise khulne ko aata hai

Kabhi shab e vasl kabhi subh e shaad
Paymana wohi naya manzar roz dikhaata hai

1 comment: