Kal saari raat khada raha balcony mein baarish to dekhta raha girte hue....
peepal ke patto per ghanghanaati,
kabelu ke chhat per dandanaati hui baarish...
jismein hawaa se jhonke jhakkad ho rahe thhey.
Phir saamne sadak per ek gaadi ruki kuch log nikle shayad kisi party se aa rahe thhey. Ek ladki nikli jisne chota sa kaala dress pehna hua thha... sir ke upar per apna clutch rakhti hui ek ped ke neeche ja khadi hui.... ladke ne apne jacket ko sar ke upar kiya aur jhat se nikal kar darwaza band kiya. un logon ne gaadi ki taraf bye kiya aur phir gaadi tezi se aage nikal gayee... unka ghar thoda andar hoga... maine unhe andhere mein pehchaana nahin, waise bhi aajkal kayee naye log bastee ke andar ke makaano mein rehne aaye thhey... kuch firangi, kuch arbi aur baaki sab mulki. Wo log thodi der ped ke neeche hichkichaaye aur phir ek doosre ka haath thaam kar daudte hue gali mein gaye....ladki ki hansee bhi sunaayi di mujhe..
Door, upar, Fortune Heights ke ek flat ki chatt mein roshni nacch rahi thi... halki si awaaz bhi baarish ko paar kar ke aa rahi thi... lagta hai koi film director apni agli film ki prerna le raha hai raat ke teen baje... wo apna TV band karke bahar kyun nahin dekhta? Shayad itne upar se use wo sab na dikhaayi de jo mujhe doosri manzil se dikhta hai.
Achcanak biwi uth ke peeche aa ke khadi ho gayee.... main jab aisa karta hoon to use achcha nahin lagta... lekin khud zaroor karti hai, kehti hai ki aap ko to jhatke se darr nahin lagta to phir kya problem hai? ab kaun bataaye ki jhatka lagna aur dikhaana do alag baatein hain. Usne poocha ki kya baat hai. Maine kaha kuch nahin baarish achchi ho rahi hai to yahaan se dekh raha hoon... kehne lagi ki itne zukaam mein ye kya soojha ... maine baat aage badhe is se pehle sar ko towel se cover ker liya...kuch der mere saath khamoshi s khade reh ke baarish ko dekh rahi thi, Phir wo chali gai..... sadak per ek aadmi lathi peet'te hue aa raha tha. Abhi nazar bhi nahin aa raha tha lekin awaaz saaf aa rahi thi. Phir nazar aya, umardaraaz, safed daadhi, tez kadam, buland awaaz raat ke sannate ko cheerti hui... logon ko utha raha tha wo sehri ke liye... purane zamaane ka alarm system... rozedaaron ko keh raha tha ki utho sehri ka waqt ho gaya hai... bheegta hua... waise ek haath mein ek chaata doosre mein lathi, thak thak karne ke liye...
Thodi der baad main kitchen mein gaya. Sehri ke liye ande banaye, aur doodh waghairah garam kiya... kitchen mein khadbad sun ker biwi bhi aa gayi.. maine use lauta diya... kabhi kabhaar to main kuch karta hoon... aaj dus minute extra aaram kar le.... Sabne sehri kee aur phir so gaye... mere liye sabse zyada uljhan ka waqt rehta hai jab sehri ki mohlat khatm hone wala pataakha phoot'ta hai... mujhe ain tabhi paani peena rehta hai. Usse pehle kitna bhi pee lun pyaas lag hi jaati hai pataakha phoot'te hi.
Dimaag se saare futoor nikalte hue main apne bistar ki ore chala... ankh se paani beh raha tha musalsal so sone nahin diya aur main phir kisi pehredaar ki tarah towel sar per baandh kar balcony ka darwaza khol kar baarish ko phir se dekhne laga.