Monday, September 1, 2014

Hindi Short - Chunauti

"Nahin main bhi bolta hoon, jaisa aap log bol lete hain" maine kaha. Panditji hans pade. Kahe "dekho beta, hum, tohaar abba, chachcha, maamu hum sab logan gaaon ki paidavar hain, gaanv mein padhe, khet khalihaan ma javaan bhaye hain. Aur baabu tuh Bammayii ma paida bhaye ha, angreji padhat ha. Hindi to sojhay bol nahin paute, desi ka bol paihaa?" 'achchai? Chalaa humse kuchchau pooch la, kauno shabd ka matlab?' Maine chunauti de di. Diwali ka din. Puja ho chuki thi. Panditji ne apna laal munh khola aur ek aur banarsi 120 kachchi pakki kasaili usi mein daab diya. Ek nazar Abba ki taraf dekha. Abba ne ankhon se unhe ishara kiya.. Ki aaj iski class ho hi jaaye. Ab maano sab slow motion mein hone laga. Kuch kshan mujhe dekhne ke baad unhone poocha..."Achcha tab bhaiya aap ee bataava ki 'chehntaa' aur 'kehntaa' mein ka antar hai?".
Us din mujhe pataa chala ki na zameen phat ti hai na koi dhansta hai. Use wahin khade reh kar sab sehna padta hai.

No comments:

Post a Comment