Tuesday, December 21, 2010

Kya karun

Utha tarq e wafa ka khayal phir
Wo lauta nahin mere paas phir

Tu nay pyar se pukara mujhko,
aur maine liya uska naam phir

Raqbat hai wahi uske naam se,
sila jo mile, ho anjaam phir

Kya Daykhun

Apne ghamon ko aksar samet ta hoon,
Kabhi tumko kabhi apne shehar ko dekhta hoon,

joshili leher ka pathrile sahil par tootna
halaat ka armanon pe asar dekhta hoon

is sheher ne mere sapne cheene hain
aaj iski bari hai, main ise kal dekhta hoon

chamakte sheeshon se lipti imaraton mein
dhundli aankhe gande zehen dekhta hoon

har shakal per dekhoon aalam e bad havaasi,
aajkal aina main kam dekhta hoon

Friday, December 17, 2010

The useless idler

Mind-the useless idler,
kneads old, unkeen memories,
stewing them in lapses of memory with sprinklings of unfelt fondnesses
and turning them over and over
till they become warm, poignant reminisces to wallow in on gloomy days.

Khwab dekha aur tod diya

Ek khwab dekha phir tod diya
khushfehmi se khud ko jhanjhod liya

awara hai badal kabhi laut ta nahi
kitne banjaro ko isne tarasta chhod diya

kinare ko choom rahi thi meri kashti
toofanon mein kisne ise phir mod diya

Haasil mehkashi ka khoob mila mujhe
nashe ne khumaar ko tod diya

Aaye ho to baitho ankhein senk loon
dil ne to ab machalna chod diya

Tum aa gaye

Kaee mautein mara tumhare intezar mein,
jeene ab laga tha ki tum aa gaye,

ishq ne dard ko mere sar kar diya,
sambhalne laga tha ki tum aa gaye

andheron mein bhataka jo itne din
roshni ki simt chala ki tum aa gaye.

Barat raha tha tumhari tarah mujhse waqt
waqt badal raha tha ki tum aa gaye

vaade vo adhure bhoolna chaha jinhe,
goum ho rahe the ki tum aa gaye

I'll lie to you

I'll lie to you my sweet
right just the way you want me to
syrupy promises of eternal love
of flowers blooming and cooing doves

your electric soft skin will not excite me
when you brush my arm not so accidently
swear by truth in all I will say
I'll mislead you about my aim intently

not look at other women when you're there
in my mind i've stripped them bare
its a game we play you and i
perfection, deception and such feeling, flair

when after all we've both had our way
you can pretend my love was a deception tall
your heart's broken to bits you'll say
right then, another guy on the phone you'll call

Sunday, December 5, 2010

Ehsaas

Ghalti ka ehsaas kara to sakte ho,
der se hi sahi phone utha to sakte ho,

majboor koi nahin rishta nibhaane ke liye
apna samajh ke yehi baat jataa to sakte ho

do pal milan ke, do hasee ke yaad nahin,
ek baat ranjish ki bhulaa to sakte ho

tum bhi mere pas aa to sakte ho
sar-e-nau se saare zakhm jaga to sakte ho.