Monday, April 11, 2011

Rehte Rehte

Lab pe aa gaya tera naam rehte rehte
Kissa phir shuru hua tamaam kehte kehte

Rishta aise rakkha tunay bewafaii mein bhi
Rang kar raha ho koi imaarat ko dhahte dhahte

Mere bhi chehre ka taaluk dil se aisa ho gaya
Muskura deta hoon ashkon ke behte behte

Koi shay ajnabi nahin lagti ab aise,
Ghamon ne apna liya mujhko sehte sehte

Khaali Mann

Man mein tha jo geet mujhse sunaya na gaya,
Dil ke armaan ko bhi dabaaya na gaya

Chhalakte rahe jaam uthte rahe paymane,
Apna hi haath tha lekin rukaaya na gaya

Bade saleeke se bulaa rahe tthey mujhe veerane,
Apna haq mujhpar unse bhi jataaya na gaya

Teri talaash mein wohi lazzat hai jo tere saath mein hai
Ek kiya na gaya dooja nibhaya na gaya

Thursday, April 7, 2011

Neend

Ab kya karunga ro ke
Lo aa gaya munh dho ke

Utar gaya hai bukhar
Hosh aaya sab kho ke

Nakhuda bante tumko dekha
Meri kashti dubo ke

Chayn ki baat kya karun
Neend aayi kaanto pe so ke

Ajeeb tha mera safar 'Quateel'
Faasla reh gaya tay ho ke