Wednesday, December 21, 2011

Jaate

Mere neend se uthne tak to ruk jaate
kuchh baatein sunte kuch keh jaate

Din ke guzar ka bahana toh mil jaata
rumaal apna tum jo pass rakh jaate

Tanhaiyee ne raat bechain banaayii hai
Andhere ki baahon mein armaan simat jaate

Koi jagah uske liye mehfooz nahin
Aasteen main jiske saanp hai pal jaate

Itna jhooth bolte ho ki ravaani mein
Mere sar ki kasam bhi ho khaa jaate

Kisi shayar par aitbaar kyun ho
Ishq kya hai aur wo kya bataa jaate

Apni fitrat bhi hamein maloom nahin
Kab tadapte hain kab sataa jaate

No comments:

Post a Comment