Friday, May 17, 2013

Khaahishein Behisaab Rakhte Hain

Khaahishein behisaab rakhte hain
Us par arzu e savaab rakhte hain

Taghaaful kare baghbaan to hum
Kaliyon per shabaab rakhte hain

lab pe sawaal le kar aayein hain
Jo ankhon mein kitaab rakhte hain

Hum ehl e sehra e furqat daraaz
Har lamhe ka hisaab rakhte hain

Baatein banaate nahin 'Quateel'
Ek yahi aib janaab rakhte hain

Quateel Ahmad
17 May 2013

Wednesday, May 15, 2013

Sher

Haqeeqat ishq ki humse kya poochiye 
Hum to saraabon mein saraabor hain





What is the reality of love you ask me
Immersed in mirages am I

Wednesday, May 8, 2013

Qataa

Dil ko khushi de kabhi wo kaam na kar sake
Lutf o ishrat kabhi apne naam na kar sake
Sar per itne ghamon ko bitha liya hum ne

Gham e hayaat ka hum ehteraam na kar sake

Sunday, May 5, 2013

Pompey Pompeii

I will play Pompeii and tell you just this much...

Gods don't favour labours of the common home
Nor Campainian upstarts against regal Rome

You can ask the aristocrats of our time
Syllas, Julians, Pius's stand and mime


Stories that Nola and Capua always knew
Which in time and telling grew

Short life everlasting tragic fame
Is the lot of the Pompeii name

One day my last happy heart was broken
And then Vesuvius for a task awoken.


Quateel Ahmad
May 4, 2013

Friday, May 3, 2013

Na baaz aaye hum

Hai girebaan chaak nasheman jala aaye hum
ab tak aise naaseh se kyun na baaz aaye hum

Is dayaar mein apni bhi kuch izzat numa si thi
Maamooli se ik mehfil thi aur lutaa aaye hum

Wo bhool na jaaye humein koi saaneha to ho
Mehfil rang pe aayi to usey chhod aaye hum

Khushfehmiyon se apne puraane rusooq hain
Jo phool le gaye to zakhm le kar aaye hum

Quateel Ahmad
May 2, 2013 Mumbai