Thursday, February 16, 2012

Dekh liya

Tere aage sar jhuka ke dekh liya
minnatein kiin gidgidaa ke dekh liyaa

Maikhaane mein jaata hai roz kyun
masjid ka rasta jab usne dekh liyaa

Hon bahut jo aajbhi iski sunte hain
Dil ko sar par bithaa kar dekh liyaa

Bewafaa hai zindagi kehte hain log
Maut ko bhi to bulaa ke dekh liyaa

No comments:

Post a Comment