Thursday, February 16, 2012

nahin aane wala

Meri aankhon se ab kuch bahar nahin aane wala
Dil ka mehman jo hai andar nahin aane wala

Keemti kyun hain mujhko uski kasmein, vaade uske,
Raasta bhool ke bhi wo jab nahin aane wala

Maujon ne jaise kasam kha rakhi hai
Koi safina ab kinare nahin aane wala

Aasmaan dekhta hai kyun fard e pashemaan
Daur hikmat ka hai abaabeel nahin aane wala

No comments:

Post a Comment