Wednesday, August 22, 2012

KAM HAI

Jitna bhi kiya hua kam hai
Ab chalne ko raasta kam hai

Kehte hain badaa hai dil uska
Is marz ki to davaa kam hai

Rai leta hoon apne chhoton se
Unmein ajza e raaegan kam hai

Jo muskuraaye apni aankhon se
Dil main uske maiyl kam hai

Kayi hain ab haqdaar iske
Aur pyaar mujhe mila kam hai

Maine keh diya tha sabkuch
Wo kehte hain likha kam hai

Tuesday, August 14, 2012

Sulagta hai dil

Sulagta hai dil to karta hai sawaal bhi,
mohabbat mein aati hai subh e zavaal bhi

khamoshi mein hain pardadari ki alamatein,
tanhaiyon main panapte hain malaal bhi

muskurate ho ab bhi baatein karte ho,
rakhte ho dil mein bewafa khayal bhi

gile kya karun tum se kya shikayatein,
sannaate bhi hain sukoon la muhaal bhi

nibah rahe hain is salikay se rasm e duniya,
guzre chand roz phir mahine aur saal bhi

main apna haal e dil bayaan na kar paoon,
teri ankhen bhi khushk hain laal bhi