Wednesday, January 30, 2013

WO LADKI

Wo Ladki
Mushkilon se usay muskurata dekha
Taaron ko din mein jagmagata dekha
Sweater ko kirnon mein nahata dekha
Kirnon se chehra bhi jhilmilaata dekha

Gehri aankhein hain gehre raaz liye
Zulfein apne mein sau andaaz liye
Chehra bhi hai suraj ka aizaz liye
Lab surkh mizaaj e shiraaz liye

Usne yaadon mein dil phansaa rakha tha
Muskuraahaton ko door bhagaa rakha tha
Itni masroof nahin jitna bataa rakha tha
Lekin maine bhi ek deep jalaa rakha tha
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Ye kya rishta hai jise humne banaa rakha hai
Sawaal kyun apne beech ek khadaa rakha hai

Yehi sawaal raaton ko jagaa rakhega
Ye aksar humein khudse khafa rakhega

Mere peeche uske aage hai zindagi badi aisi
Kya mere peeche hatne ki aa gayi ghadi aisi

Socha ki na de paaunga usko sab kuch
Haq mera banta hi nahin phir ab kuch
.
.
.
.
.
.
.
.
Koi pehle koi der se jeevan mein aata kyun hai
dopahar ko dil naya chand dikhaata kyun hai
baat ghalat hai to dil mujhe manata kyun hai
Zindagi ne khilona humein banaya kyun hai

Zimmedari aasan nahin hai is dil ki
Ek asmaan hadd nahin hai is dil ki
Bikharne ki zidd nayee hai is dil ki
main na sunoon ab koi baat is dil ki

Quateel Ahmad
23 Jan 2013

Monday, January 21, 2013

Fone per baat karta hai rabt se malaal, achcha hai
Wo mujhse door gar, rahta hai khush haal achcha hai

Jiske goshon mein naummeedi ki fasal hi lehlahaaye
Us khet mein building banane ka khayal achcha hai

Bahot sharaab pilayi hai aaj mujhe raqeebon ne
Doobe may-e-hasad mein khumar-e-visaal achcha hai

Na mujhse Urdu bol, wa mun Turkie nami danum
Jo do zubaan rakhta ho aaj usika haal achcha hai

Quateel Ab ek hi shakhs ko shiddat se dhoondiye
Wo brahman jisne kaha tha ye saal achcha hai

Tuesday, January 8, 2013

Kya martaba badha liya apna?

Kya martaba badha liya apna?
Kya mujhe bana liya apna?

Ab aati nahin mujhse buu koi
ya badal liya tuney libas apna

use aksar ruk ke dekhte hain
kiraaye pe utha hai makan apna

paison ka kuch asar hua hoga
aisa munh tha kahaan apna

apne mein mukammal hoon
Khud se dil hai badguman apna