Tuesday, July 6, 2010

Baki hai

Maujon ka rukna baki hai,
suraj ka theherna baki hai.

Mai ka dhalna baki hai,
Vaiz ka behekna baki hai.

Dars-e-dauraan baki hai
daur-e-hijraan baki hai.

Ilm ka mitna baki hai,
Sajdon ka rukna baki hai.

Baaton ka chhubhna baki hai,
aankhon ka chhalakna baki hai.

Khizaan ka barasna baki hai,
kaanton ka khilna baki hai.

Mera chalna baki hai,
uska aana baki hai.

Jaan se milna baki hai,
jaan ka jaana baki hai.

No comments:

Post a Comment