Tuesday, June 28, 2011

Ajeeb haal!

Ajeeb haal hai is mehfil ka
musalsal kahe koi
musalsal daad day koi
Ya khuda saans to le koi!

Ajeeb baat hai duniya ki
zulm sahe koi
aah bhare koi
is fareb ko bund kare koi!

Ajeeb hai rivayatein gharon ki
hauslaa kare koi
maslaa bane koi
Seedhi baat bhi to kare koi!

Ajeeb raste hain ishq ke
ishaare kare koi
Bechaara mare koi
Is dhongg ko khatm kare koi!

Monday, June 20, 2011

Gaaon ki yaad

Chuk chuk karti rail gaadi chali gayee
Puk puk karti chakki bhi chali gayee

Jhar jhar gehun ki danvaai chali gayee
Thak thak chawal ki kutaai chali gayee

Band hua miljul kar gudadi ka silna
Chaar aane ki mithai chali gayee

Bhor ki wo datuan todaai chali gayee
Saanjh ki chara-chunii bhi chali gayee

Hukke ki chiilum chadhai chali gayee
Aangan ki gobar lipai chali gayee

Bartan ki wo raakh majaai chalii gayee
Bhoonje dana wo bharsaiin chali gayee


Jaadon mein wo ras peraai chali gayee
Saath uske rasiyaav ki handia chali gayee

Sikahar ki wo dahi malai chali gayee
Palang ki nivaad kasaii chali gayee

Debari ki tel bharaai chali gayi
Aandhi mein baagh rakhaii chali gayee

Ek alag duniya hi thi jo chali gayee
Ab uski yaad bhi jaise chali gayee

Wednesday, June 15, 2011

Pyar sikha doon

Aao main tumhe pyaar karna sikha doon,
Jeena aur jeeteji marna sikha doon

Sheeshe ki manind hai jo dil nazuk tumhara
Sheeshagari ke isme kuch anjaam mila doon

Phool se paaon hain makhmalon ke paymane
Kaanton ki inhe paazeb pehna doon

Ankhon mein jo chamakti hai lau zindagi ki
Rang isme bujhi hasraton ka mila doon

Saagar mein doobne ki hastrat rehne do
Sehraon mein bikhray moti dikha doon

Tuesday, June 14, 2011

Pehel

Wo jo tunay mujh par ghaav barsaaye hain,
is shab phir mujhe sataane aaye hain,

main apni zid par amaada raha,
tujhme bhi enaa ke sarmaaye hain,

saare hamdard thak kar apne raste chal diye,
dekhein guroor humain kahaan le jaaye hai,

Jaanta hoon tu bhi pachtaaye hai un baaton ko,
kambakht dil phir mujh se hi pehel karvaaye hai

Tuuti Kursi

Bahut nihaara jaata hai
Jo bahar se aata hai
Sabhi balaayein lete hain
Sab duaaein dete hain
Baaton ka wo achcha hai
Dil ka bhi sachcha hai
Sabki baanchein khilti hain
Jab peti uski khulti hai
Sar pe rakh ke haath chhoti ke
Kangan wo dikhlata hai
Chacha ka fone aur Chhote ko
shoes bhi pakdaata hai
Baba bhi ghadhi se khush hain
Dadi to aise hi khush hain,
lekin chhipi ek udaasi bhi
Ek chehre ki muskaan ke peeche
Khwahish bani hai phaansi bhi
Bahar se aane wala
Sabke man ko bhaata hai
Jo roz yahaan khat ta hai
Uska man prashn uthaata hai
Kahaan thhey tum jab chhoti ki
Admission ki baari thi
Do dinon ki chutti maine
Un linon pe waari thi
Baba ka PF bhi kya karke nikalvaaya tha
Ek tankhwaa jitna nazrana chadaya tha
Jab maa ko na na karte
Bade doctor ko dikhaaya tha
Office se loan le kar MRI karvaya tha
Aur daadi ki tooti kursi,
Phainkne ko wo taiyyar nahin
Maike se laayi hoon kehte
Roz usi pe baithe hai
Jaan halaq mein aati hai
Jab kursi zara zara si toote hai
Boodhi haddiyon ki khair
Ghar mein sab manayein hain
Chhoti ke zevar ka zimma
tum ne to khoob nibhaya
Lekin roz ke aate chawal
Ka bojh bada hi bhaari hai
Saare ghar ke kaam ka zimma
Tension ki jaise aari hai
In deewaaron se niklun main bhi
Pardes ki duniya dekhun main bhi
Kya hoti hai apnon se doori
Dekhun main bhi parkhun bhi
Lekin ye baatein bekaar ki hain
Kismat ke karobaar ki hain
Kal ek paaya laana hai
Kursi ko aur jilaana hai