Tuesday, December 21, 2010

Kya karun

Utha tarq e wafa ka khayal phir
Wo lauta nahin mere paas phir

Tu nay pyar se pukara mujhko,
aur maine liya uska naam phir

Raqbat hai wahi uske naam se,
sila jo mile, ho anjaam phir

Kya Daykhun

Apne ghamon ko aksar samet ta hoon,
Kabhi tumko kabhi apne shehar ko dekhta hoon,

joshili leher ka pathrile sahil par tootna
halaat ka armanon pe asar dekhta hoon

is sheher ne mere sapne cheene hain
aaj iski bari hai, main ise kal dekhta hoon

chamakte sheeshon se lipti imaraton mein
dhundli aankhe gande zehen dekhta hoon

har shakal per dekhoon aalam e bad havaasi,
aajkal aina main kam dekhta hoon

Friday, December 17, 2010

The useless idler

Mind-the useless idler,
kneads old, unkeen memories,
stewing them in lapses of memory with sprinklings of unfelt fondnesses
and turning them over and over
till they become warm, poignant reminisces to wallow in on gloomy days.

Khwab dekha aur tod diya

Ek khwab dekha phir tod diya
khushfehmi se khud ko jhanjhod liya

awara hai badal kabhi laut ta nahi
kitne banjaro ko isne tarasta chhod diya

kinare ko choom rahi thi meri kashti
toofanon mein kisne ise phir mod diya

Haasil mehkashi ka khoob mila mujhe
nashe ne khumaar ko tod diya

Aaye ho to baitho ankhein senk loon
dil ne to ab machalna chod diya

Tum aa gaye

Kaee mautein mara tumhare intezar mein,
jeene ab laga tha ki tum aa gaye,

ishq ne dard ko mere sar kar diya,
sambhalne laga tha ki tum aa gaye

andheron mein bhataka jo itne din
roshni ki simt chala ki tum aa gaye.

Barat raha tha tumhari tarah mujhse waqt
waqt badal raha tha ki tum aa gaye

vaade vo adhure bhoolna chaha jinhe,
goum ho rahe the ki tum aa gaye

I'll lie to you

I'll lie to you my sweet
right just the way you want me to
syrupy promises of eternal love
of flowers blooming and cooing doves

your electric soft skin will not excite me
when you brush my arm not so accidently
swear by truth in all I will say
I'll mislead you about my aim intently

not look at other women when you're there
in my mind i've stripped them bare
its a game we play you and i
perfection, deception and such feeling, flair

when after all we've both had our way
you can pretend my love was a deception tall
your heart's broken to bits you'll say
right then, another guy on the phone you'll call

Sunday, December 5, 2010

Ehsaas

Ghalti ka ehsaas kara to sakte ho,
der se hi sahi phone utha to sakte ho,

majboor koi nahin rishta nibhaane ke liye
apna samajh ke yehi baat jataa to sakte ho

do pal milan ke, do hasee ke yaad nahin,
ek baat ranjish ki bhulaa to sakte ho

tum bhi mere pas aa to sakte ho
sar-e-nau se saare zakhm jaga to sakte ho.

Monday, September 20, 2010

Saawan ko aane do

Sawan ko aane do
rim jhim barse jane do
Kya pata kitne din ki chandni
Isme sabko bheeg  jane do
Khushboo phoolon mein phir ho na ho
Aaj to bhavron ko mandrane do
Hai jo dariya pee gaya gola aag ka
Mujhko bhi shafaq mein ghul jaane do

Raat Baki

Raat baki,
baat baki,
Nayee ranjishon se mulaqat baqi

Hui na tujhse wafa,
kiya na hamne gila,
aur baatein teri nagavaar baqi

Dee hampyalon ne dagaa,
kiya na unse sula,
Hai sabon se lena hisaab baki

Daaman e ummeed ka
saath na choda abtak,
Aur hai hona mujhe halaq baqi

Tuesday, July 6, 2010

Baki hai

Maujon ka rukna baki hai,
suraj ka theherna baki hai.

Mai ka dhalna baki hai,
Vaiz ka behekna baki hai.

Dars-e-dauraan baki hai
daur-e-hijraan baki hai.

Ilm ka mitna baki hai,
Sajdon ka rukna baki hai.

Baaton ka chhubhna baki hai,
aankhon ka chhalakna baki hai.

Khizaan ka barasna baki hai,
kaanton ka khilna baki hai.

Mera chalna baki hai,
uska aana baki hai.

Jaan se milna baki hai,
jaan ka jaana baki hai.

Saturday, July 3, 2010

The Tune

The yester is done,
the circle begins anew

Uncounted blessings and true friends, 
Not just a few,

Glory becomes the rosy dawn, 
Mingles the grass with dew,

Steady the shade of love, 
sometimes shaken, never askew

Death awaits, bides its time, 
Despair and Pain its eager crew,

Tis till then that all is well 
And the heart still beats its lovely tune.

Aaj Bhi Hai

Mile the jaise khwaabon mein hum tum,
ek kasak bedaar aaj bhi hai

Khule jo raaz gesuon ke chandni raat mein,
saanson mein mehak aaj bhi hai

Aaj bhi damakti hai tere vaaste chashme nam,
soona soona ye sehen aaj bhi hai

Yaadon se hi karta hoon apne din roshan,
nazar andhere ki mujh par aaj bhi hai

Mazii mein sahare kab tak dhoondhun,
Aao ki duniya se bair aaj bhi hai

Apni hasti ka jurmana to de diya

Tum se baaki hisaab aaj bhi hai

Friday, July 2, 2010

You burn alone

Measured you comes, controlled you goes,
like the river in winter so deep it slows.

Tread on alive yet inanimate,
masking well the grief you know.

The lips may a few words utter,
eyes, storm windows shuttered.

The feet don't shuffle, the bearing still upright,
tis the other who is uneasy, contrite.

But soon this guilt will turn on you
later all, but first a few,

you'll remind them of the horrors of yesterday,
when new celebrations are in perfect array,

no matter your loss is yours alone,
the hordes will want their clearance zone.

Tear it down this wall of steel,
show them how you really feel,

let there be a raging sea of tears,
the living are but heirs of fears,

Take the torch and burn down the city,
with all those whose eyes have pity.

As it is you burn alone,
long after you've turned to stone.
 

Bauraya Badal

Ab ke, barasne ko bechain badal,
Apni disha kho kar, yahan wahan ghoom raha hai,

Banjar zameenon se,
hariyalion ka pata pooch raha hai